Sama SMS Messages573 messages

Wfa K Rooth Jane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Kabhi Saajan Manane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Main Lafzon K Samander Mein Mila Deta Hoon Sochon Ko

Phir Un Ki Yaad Aane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Chaman Mein Raqs Krti Hai Sba Jab Phool K Aage

Tu Un K Muskurane Pr Ghazal Takhleeq Hoti Hai

Mujhe Aata Nhi Hai Sh''er Likhna Ek Bhi Lekin

Tumhari Yaad Aane Pr Ghazal Takhleek Hoti Hai... ;->
Sahil udaas Tha K Samadar udaas Tha

Lagta Tha Jaise Sara Manzar Udaas Tha

Loti Falak se to Bari Dilgeer Thi Dua..!!

Ek Khuwab Tootny Pr MuQadar udaas Tha...!!!
Log meri
MOHABBAT ko
Fakeeri
Samajhty hain

~saab~

Ye sach ha
main ussey
pany ki
BHEEk
mangta hu
Kahani dard ki main zindagi se kya kehta

Ye dard us ne diya hai usi se kya kehta

Gila to mujh ko bhi karna tha piyaas ka lekin

Jo khud hi sookh gayi us nadi se kya kehta

Mere aziz hi mujh ko Samajh na paye kabhi

Me apna haal kisi ajnabi se kya kehta

Andheri raat ne mujh ko bohat sataya hai

Bhala ye baat mein ab roshni se kya kehta.

Tamaam shehar mein jhoot ka raaj tha''WASi''

Mein apne gham ki haqeeqat kisi se kya kehta....
khushbakhti Samajh lo

ya......

siyahbakhti keh lo..

mujhe sare zamane mein

mohabbat hai to bas

Tum se......
Ek Din Woh bahot Pachtaiga Jab Laut Ke Wapis Aayega
Mai Haule Haule Boluni Sab Raaz Dilke Kholungi
Yeh Duniya Aisi Basti Hai Har Aankh Se Aansoo Behta Hai
Dukh Dard Ke Maare Log Yahan
Har Aankh Ke Bikhre Khwab Yahan Ret Bhari Hai Aankhon Mein
Mai Usse kahungi Socho Toh gaya Waqt Kahan Se Laoge
Yeh Baat Samajh Na Paoge Behtar Tha Jo Laut Ke Na Aate
Ab Dil Ko Manana Mushkil Hai

purane Samaan ke saath
phir nikal ke samne aa gai hai..

peele safe
miti hui syahii
par jo likha hai ..
vo dil pe bhi naqsh hai ..
har baar ise door karne ki chaah me
kabhi machan pe uchal diya
kabhi purane Samaan me phaink diya
khirki se bahar phainkne me
haath saath nahi dete..

barhaa ghar me chupane ki, dafn karne ki koshish
aur utni hi shadeed koshish
is dairy ki mere saamne aane kii
ye lukachipi kai salon se jari hai
main chup rahi hun
aur mujhe dhoond rahi hai
Meri Dairy .....!!!
Meri khamushiyon ka raz mujhey khud nhi malum

Wassi

Najane kiyon log muje maghroor Samajhte hain....!!!
Khirkiyon K Sheeshon Par,

Reengtay Huwe Qatray....

Yun Phisalte Hain Jaise!!!!

Mere* Aur Baadal K Darmayan Koi Hai:......

Jo Mere Aur Baadal K Raaz Ko Samajhta Hai......

Jab Ghatayen Chaatien Hain

Tou Sirf Woh Nahi Roteen......

Aankhain Bhi Barasti Hain,

Khirkiyan Bhi Roti Hain.....
Nah jane kiun mera peeccha karti hein
yadein uski essa hamesha karti hein

bholna chahoon bhi tu bhula nah paaon usse
sanson se uski muattar hawaein aaya karti hein

fizaein ithlati hein uske badan ko choo kar
subak kharami dekh ke uski Samander mein lehrein utha karti hein

phool uske lab o rukhsaar ki balaein lete hein
palkein utha ke dekhey tu dilon per bijliyan gira karti hein

ab tum hi batao kesse chuppon uss se jimmi
har pal har jageh uski ankhein mujhey dekha karti hein
simat te paya
ek nai umang mein har baar meri aankhon ne kshitij mein Sama rahe

sooraj ko nihara.........par phir subhe ki laalima mein palkon ko

bheega hua paya
shaamon-sehar bas tanhai..........aur har lamha isi soch mein beeta
is duniya ko main Samajh nahi payi ya is bhari duniya mein koi

..............mujhe Samajh nai paya?
MOHABBAT
tumhain zid hai ka main kah doon
mujay zid hai ka tum kah doo
ka mujay tum sa muhabbat hia
nahin yeh jaanta doonoon
muhabbat kab bahla mohtaj hai lafzoon ki ,batoon ki .
mohabbat too humara dill ki darhkanoon main chuppa surili geet ki manid..
muhabbat aankh main palta woo pur israr jazba hai jissa aab tak nahin koi Samaj paya
na is ki koi soorat na is ka koi paimana
dhakka lafzooon main to is ka bohat izhar hoota hia
kuch aisa hi ka jaisa aab
taha-e-dill sa too hum doonoon bohat izhar karta hain ,
magar pher na jaana kioon
tumahian zid hai ka main kah doon
mujay zid hai ka tum kah doo
ka mujay tum sa ..............