Qayamat SMS Messages50 messages

Qayamat k din allah pak sub ko aik

paper dega k apne apne gunah lekho

sub likh rehe honge achanak aap ki

awaz ai ge ” supply plz”! :-) )


'There are 8 doors of Jannat:
1. Jannat-ul-mava
2. Dar-ul-maqaam
3. Dar-ul-salaam
4. Dar-ul-khuld
5. Jannat-ul-adaan
6. Jannat-ul-naim
7. Jannat-ul-kasif
8. Jannat-ul-firdaus

Insha-Allah, on the day of Qayamat may your name be called from all the doors...Ameen!'
class:
bardasht.
attendence:
hera pheri
class room:
no entry
teacher:
jani dushman
exam:
evil dead
examinor:
Don
friends during paper:
ham ap ke hen kon???
marking:
andha kanoon
exam time:
Qayamat
cheating:
lage raho munna bhai
question paper:
paheli
answer paper:
kora kaghaz
result:
sadma
pass:
chamatkar
fail:
Devdas
future:
na tum jano na ham...:)
FULL TIME FILMY
Hum Tou Mit Jayen Gay Ae Arz-E-Watan Lekin.. !!


Tum Ko Zinda Rehna Hai Qayamat Ki Sehar Honay Tak...


~ 6th September 2009 ~
)( HAPPY DEFENCE DAY )(
Ek tanha raat me apki yaad aayi,
tanhai mitane ko humne ek cigrate sulgai,
na jaane kaise Qayamat ho gayi ke dhooeein ne bhi apki tasvir
banayi.

Jo Na Pekar-e-Mawaddat Mein Dhaley Ga
Taa-Abad Aatish-e-Dozakh Mein Jaley Ga
Rakh Jeib Mein Ishq-e-Ali Ka Zar-e-Khalis
Sikka Yehi Bazar-e-Qayamat Mein Chaley Ga
Aaye baghe askari k muqadas tareen phool
Aaye kaaba e fikro nazar aa kibla e asool
Aa hum say bhi khiraj e dil o jaan Kijye wasool
Mola tairey bagair hum ko Qayamat nhn qabool
Jannat me maalo zar na hukumat k wastay
hum ji rahey hyn teri ziyarat k wastay
Jis Ne Aal e Nabi Ko Sataya
Jis Ne Bint E Nabi Ko Rulaaya
Bil Yaqeen Bad Nasab Hai WO Insan
Jis Ne Qaul e Nabi ko Bhulaya
Noor Ko Noor Mana Na Jisne
Ta Qayamat Wo Andha Rahega
Aabhi kuch or rahyen gay Imam parday me
K horahey hain Qayamat k kaam parday me
Sehar say pehlay arezun ki maslihat hy yehi
Huzoor say ho salam o payam parday me
Be-Pardgi ka Aalam
Main kya Bataon

Zehrila Saanp hai ye
Ummat ko das na jaey

Har simt dekh lo ab Uryani, Be_Hayaai

Ghairon se hai muhabbat
Apnon se Bewafai

Behnon k Mashghalon se bhai bhi be_khabar hen

Poochhen tou kis tarha Wo
Jab khud idhar udhar hen

Beti bhi LaadLi hai
Parda karay tou kesay

Aangan me apne ghar k
Jee ko bharay to kesay

Ye Aqal hai maghrib ki
or kaam Himaqat k

Lo Ho gaey Numaaya
Aasaar Qayamat k!
zikr-e-shab-e-firaq se vehshat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalane ki aadat use bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagoo
masroof main bhi kam thaa faragat use bhi thi

sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyaan
taza rafaqaton ki zaroorat use bhi thi

mujh se bichar ke shaher main ghul mil gaya vo shaKhs
haalaa ke shahar bhar se raqabat use bhi thi

"KASH"na jan khud ko nakaam kay bad zouq,
woh mana nahi par tujh say mohabbat usay bhi thi,

vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha ji gaya
varna har ek saans Qayamat use bhi thi
Tujhsay milnay ki saza denge tere sheher k log
ye wafaon ka sila denge tere sheher k log

Kya khabar thi tere milnay pe Qayamat hogi
Mujhko diwaana bana denge tere sheher k log

Teri nazron se giranay k liye jaan-e-haya
Mujhko mujrim bhi bana denge tere sheher k log

Keh k diwaana mujhey maar rahay hain patthar
Aur kya is k siwa denege tere sehehr k log