Phir SMS Messages1161 messages

Manzil bhi us ki thi,Rasta bhi us ka tha
Ik mein akela tha,Kafila bhi us ka tha
Sath sath chalny ki soch bhi us ki the,
Phir rasta badalny ka faisla bhi us ka tha
Aaj ku akela hoon,Dil sawal karta hai
Log to us k thy,Kia khuda bhi us ka tha,
Der lagi aane mein tumko shukr hai Phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
Kisi pe bharosa karo to khoob achi tarah karo.
Akhar myn apko 2 cheezain milayn gi.
ya to acha dost.
ya Phir acha sabaq.
Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke,
Ab Phir Laut Aya Hain December,

Mere Gamo ka mausam Jata Nahi,
Ya Allah Kuch Mujh Par Karam Kar,

Jab bhi uski yaad ati hain Mujhko,
Nahi So Pata Hun Ek Karwat Par,

Ab tu Sardi bhi nahi lagti december main,
Nahi Rakhta main ek bhi Kapda Badan Par,

Allah tu Lauta de Phir se wo mahine aur sardiyan,
Ya Phir ye Sara Mamla hi Khatam Kar,
Main Lauton ga December main


December Jab bhi ata hai
wo pagli...
Phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main


Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar Phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, Phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....

Main Lauton ga December main
UMEED!!
KISE KI YAD DIL MAIN HAI KOI AHSAS BAQI HAI
BADLTAY MOSMOON K DARMIYAN AIK RAZZ BAQI HAI

ABI TO MAIN SAFAR MAIN HOON MILAIN GI MANZLAIN MUJKO
MAGAR IN RASTOON K DARMIYAN IK SATH BAQI HAI

KAHAIN PAR SHAM DHALTI HAI KAHAIN PAY RAT HOOTI HAI
ABI TO CHAND HAI CHAND KI RAT BAQI HAI

CHALY AAO KISE DIN TUM HAMRA HALL B DAIKHO
HAMRA JISAM MURDA HAI MAGAR AIK SANS BAQI HAI

UMEED HAI Phir B WO MILAY GI HAMAIN AIK DIN
KHUDA PAR HAI BHOROOSA ABI KHUDA KI ZATT BAQI HAI
zindagi mili zra c thi,
kuch es m kami zra c thi

wo roz hota gaya pass mere
lekin Phir b dori zra c thi

qasoor chachme awara ka zada tha
meri to marzi zra c thi

muhabbat bant di us ne zamane bhar m
jo mere hisse m ae zra c thi
"Parveen Shakir"

Hoon To Khafa Us SE,
Per Janay Phir B Kiyn...?

Na Chaah Kar Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai...

Haqeeqat Se Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko Hai Pata...

Per Jaan K Anjaan Rehna Acha Lagta Hai...

Qaayel Nahi Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi...

Tanhai Main Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai...

Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA Rahay Ga...

Kuch Pal Is Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai....!!
Tum raho hum se door to ik kaam kar jana
Kuch pal apne humare naam kar jana

Agar a jaye mout humain tere aane se pehle
To a kar mere janaze ka ehteram kar jana

Na rona isqadar ke takleef ho humain
Mout ko bhi mazak samajh kar anjaan ban jana

Main ek din so jaon ga sada ke liye,
Phir mujhe bewafa keh ke badnaam kar jana

Jo guzro meri qabar se to nazrain na phairna
Mehman he ban ke Dua salam kar jana
Sabub Judai Ka Kuch To Batao Mujhay
Phir Chahay Dil-O-Jaan Say Satao Mujhay
Chalo Ye Mana K Fursat Nahe Tumhay
Magar Ye Lazim To Nahe K Bhool He Jao Mujhay
Mohabat Phir Muhabat he....

Kbi Dil se nhi jaati,

Hazaron rang hain is k,

Ajab hi dhang hain iske,

Kabi sehra.

Kabi darya,

Kabi jugnu,

Kabi aansu,

Hazaro roop rakhte he,

Badan jhulsa k jo rakh de

Kabi wo dhoop rekhti he,

Kabi ban kar ye ek jugnu shab-e-gham k andheron main

Dilon ko aas deti he,

Kabi manzil kenaarey par piyasa maar deti he,

Aziyat hi aziyat hai,

Magr

Ye b haqiqat he,

Muhabat Phir muhabat he

Kabi dil se nhi jaati...
Kitne Dino’n Se Seyah Libas Pehne Phir Rahay Hain,
.
.
.
Ke Koi Hamein Muft Shampo De Or Kahay
“Your Licence To Wear Black” ;->