Naam SMS Messages708 messages

Na Khas Ban Ke Mila Karo.... Na Aam Ban Ke Mila Karo....
Mujhe Meri Tarha Se Tum...... BeNaam Ban Ke Mila Karo.......
Mana Ke Ye Faraib Hai ........... Ye Faraib Bhi DilFaraib hai.......
Sehraoun ke Sarab Mein........ Tum Sham ban ke mila karo......
Gar Janchna Ho Dard Ko.......... Gar Dekhna Ho Tarp Ko..........
Mujhay Tashnagi ke Alam ain.. TUM jam ban kar mila karo....
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna k roye….
mere aazmaney wale mujhe aazma k roye…..

jo sunaai anjuman main shab-e-gham ki aap biti….
kuch ro k muskuraye kuch muskura k roye……..

teri kuch adaon pe.. kuch teri bewafaiyon pe…..
kabhi muh chupa k roye kabhi sar jhuka k roye…

mai hun bewatan musafir mera Naam bekasi hai..
mera koi bhi nahi jo mujhe galey laga k roye…….

mere paas se guzar kar mera haal tak na pooch….
mai ye kaisay maan lu k woh door jaa k roye….
MOHABBAT Kya Hai?

Urdu Nay Kaha
Bewafaon Ka Khel Hai

Maths Nay Kaha
Khushi+Ghum

Islamiat Nay kaha
Ibaadat Hai

Geography Nay Kaha
Diloun Ki Serhadein Open Kernay Ka Naam Hai

Science Nay Kaha
Do Diloun K Darmian Kashish Hai

History Nay Kaha
Taj Mahal Ka Dusra Naam Hai

Aur Ap Kia Kahte Ho..?
Apni tanhai mere Naam se abaar kare,

Kon hai jo mujhe is trha se yaad kare,

jis k Ansoun se meri rooh kanp uthe,

Hai koi aisa jo Mujhe pane ki yu faryad kare.>
Har darkhan k sath dil
tera Naam leta hai,

Tera khayal meri tooti sansoon ko tham leta ha,

Jab bhi tanhaeyan
Satati hai,

Tera tassawor mera haath thaam leta hai.>
Tumhain bakhsi hay dil ki hukmarani, aur kya detay?
yehi thi bus hamari rajdhani, aur kya detay?

saja ker sir hatheli per gaye thay koo-e-jana me
hum apnay ishq main unko nishani aur kya detay?

woh hamsay mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa
na detay usko hum apni jawani, aur kya detay?

Sitaaron se kisi ki maang bherna ik fasana hay
tumharay Naam likh di zindagani, aur kya detay?

Bichartay waqt usko ik na ik tuhfa to dena tha
Hamaray paas tha aankhon me paani, aur kya detay
jab ghata koi toot kar barse
dil mera tere lams ko tarse

phir tera Naam shaam tanhaii
sehmi sehmi hai dhadkane phir darr se

haal andaar ka bass khuda jane
kitna roshan hai diya bahar se
Kitnay din beet gayay hain daikho to sahi
Kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi

Mausam bahar ka phir tanha guzar gaya
Khizaan ek bar phir agayee hai daikho to sahi

Kitni chahat say likhta thai mai Naam tumhara
Wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi

Itni asaani say to milti nahi nafrat bhi lekin
Tumne hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

Haanton mai tum ne apnay chupayay thay moti bohat
Ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi

Aana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar
Kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

Faqeer ban kar teray kuchay mai akar
Kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi
Wo lamhe hame yaad na rahe to kya hoga,
Tere siya kuch bhi aabad na rahe to kya hoga,
Aise hai ye dil ki majburiya kaise batoo,
In saanso me ab tera Naam na rahe to kya hoga.
"Tujhe bholkar bhi na bhool payenge hum, Bas yehi ek wada nibha payenge hum, Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera Naam dil se na mita payenge hum..
Kabhi es tarah meray ham nafs,
Sabhi chahtein meray Naam kar,
Agar ho sakay tu kabhi kahein,
Meray Naam bhi koi shaam kar,
Meray dil k saye main aa zara !
Meri dharknon main qayam kar,
Yeh jo meray lafzon k phool hain,
Teray raastay ki ye dhool hain,
Kabhi in say sun meri dastan,
Kabhi in k sath qalam kr.
Shaam Tak Subha ki Nazron se Utar Jaatay Hain
itnay samjhoto pe jeetay Hain ke Mar jaatay Hain

Hum to Be Naam iraadon ke Musaafir Hain "Tanha"
Kuch Pata Ho to Batayen kidhar Jaatay Hain

Ghar ki Girti Hui deevarain Hi Mujh se Achi
Raasta Chaltay Hue Log Thahar Jaatay Hain

Ek judai ka wo Lamha ke jo Marta Hi Nahi
Log Kahtay thay Sab WaQt Guzar Jaatay Hain

Phir Wahi Talkhi-e-Haalat MuQaddar Thahri
Nashe Kaise bhi Hoon Kuch Din Main Utar Jaatay Hain