Naam SMS Messages708 messages

kuch ajnabi se loug they kuch ajnabi se hum
duniya mein ho na pai shanasa kisi se hum

dete nahi sujhai jo duniya k khat-o-khal
aai hein tairgi mein mager roshni se hum

yan to her ek kadam pe khala hai hawas ka
ae khizr ! baz aai teri hamrahi se hum

dete hein loug aaj isse shairi ka Naam
perhtey they loh-e-dil se kuch ashoftagi se hum

rehti hai anjum aik zamaney se guftugooooo
kerte nahi kalaaaam bazahiiir kisi se hum
Hamare sabra ka ya rab! koi iNaam ho jaye
are rukh se hate parda or hamara kaam ho Jaye

bharam rakhna hai saqi ka gire hai dagmaga kar hum,
agar hum hosh mai rah jaye wo badNaam ho jaye,

hamara Naam to aaye kabhi najuk si hotho pe
koi pegaam na bhejo koi iljaam ho jaye,

nikal aaye jo shab ko bhi to roshan ho sabhi manjar,
bikhre julf to din mai gahri shaam ho jaye

karamat de mere maula mere fun ko, zara kuch yu jo utre un ki aankho mai idhar unka ilhaam ho jaye,

koi pahucha de apni arz ko un tak kabhi Rahul,
hamari har gazal unke liye paigaam ho jaye
Agar awaz dainy say
Agar wapas bulany say
Agar magmum huny say
Agar ansu bahany say
Bichar kar jany waly lout aaty ,to
Phir hum awaz dy laity
Bohat ansu baha laity
Inhein jany nahi daity
Inhein dil mein basa laity
Samy ko rok laity
Waqt ko qaid kar laity
Magar aaty howay logon ko jana hy
Inhein jitna bhi rooko,inhein ahkir ko jana hy
So hum ny souch rahka hy
K in ko naik bahkti ki duaein dein
Humary pass guzaray mosamon ki chand yaadein hein
So unki nazar karty hein
Humary pass chand ikhlas mein mehki duaein hein
So unk Naam karty hein
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke Naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
Tumhara Naam leta hon
To saanson main mohabbat ki
Kai perten ulat''ti hain
Tumhen aankhon main bharta hon
To aankhon se shua''en noor ki
Bahir nikalne ko tarsti hain
Tumhen sochon ki mutthi main jakarta hon
To saare jism main thandi hawaen chalne lagti hain
Abhi wazeh nahi mujh per......
Ky main chahat ki kitni manzilen teh ker k
Is manzil pe pohancha hon
Abhi wazeh nahi mujh per........
Ky meri soch aisi hai
Ya teri zaat main koi shabistaan sa ujala hai
Mager ik baat wazeh hai.......
Ky teri zaat ki mojodgi
Mere liye jeene ka iklota sahara hai
Meri sochon ka mehver hai
Mere jeene ka hasil hai
Agar tujh ko meri sochon se minhaa ker diya jaaye
To!!!!!
Baqi kuch nahi bachta
Yehi ik baat wazeh hai.
Kahin Khamoshi Main Bhi Iqrar Hai
Kahin Kisi Ka Dil Beqarar Hai
Kahin Nigahon Main Intizaar Hai
Kahin Kinara Kahin Manjhdaar
Kahin Apni Saanso’n Ka Koi Aur Haqdaar Hai
Tou Kahin Khud K Dil Main Kisi Anjaan K Liye Mohabbat Beshumar Hai
Aur Shayad Isi Fasaane Ka Naam Tou “PYAR” Hai
Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gee
Ya meri tarah ashq bahati ho gee
Woh meri shakal mera Naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gee
Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Meray matam ki sada arsh hilati ho gee
Tumhary Bin Har ik pal Mujhe B''chain Rakhta Hai,


Mein Apna Dill Hai jo Bekul ,Tumharay Naam karta Hoon.
Humsafar ne ki bewafai humse
To ashiyan bhi amnoon ho gayi
Ab apne khayalon ke safar me dil tute
To hume gumNaami ke raste mil gayi
Aj un aafsanon ki arzoo me dharkane gum ho gayi
To yeh badnaseeb asra un sarkonme kahin kho si gayi
Aj un badNaam gali me kahin kho gaye humari alfaaz
Yeh badNaami ke ajeeb ittefaq hain unki humse aitraaz
Yeh badnaseeb zarhanawazi kare us chehre ki armaan
Sau chehreke ek chehrese juri hay humari dastaan
Us chirag ki kasam aj ruswayi liye mohabbat ke saaz
Wah kismat! itmaam humsafar ke bewafai huye raaz
Ja aj batade us bewafase ki humne jala diye woh paygaam
Kasam us bewafai ki, manzoor hay hume jhute ilzaam.
Ek Lakeer. . .

Kch udas kch khamosh
Kch bebas si lakeerai''n mere haath ki
Dhoondta rhta hoon aksr in lakeero''n main
Ek lakeer tere Naam ki
Kch malum b hy
Kch dil b janta hy
K in lakeero''n me koi lakeer nhi tere Naam ki
Phr b na jane kion dhundta rhta hon
Aksr ek lakeer tere Naam ki
Ek lakeer
tere Naam ki
*~*~*TUM NE POOCHA*~*~*

tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
Naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch kahay to,
muskura ker anjan ban jana,
or jab woh mayoos ho ker laut jaye to,
apney ander jhaankna,
or khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhein bata day ga k,
dukh kisey kehtey hain,
dukh kia hota hai... .. . !!!!!!
sochta ho keya Usy neend B ati Hogi


ya meri tara faket Ashk bahati Hogi


woh meri shakal Mera Naam bulany wali


apni taswer sy keya aankh milati Hogi