Muntazir SMS Messages26 messages

Wohi Muntazir negahain
wohi sham-e-gham ka manzar...
main azal sy dhoond raha hun
teri wapsi ki rahain...
Aaj Jab Haath Uthana DUA k Liye

Tou Humei''n Mat Bhoolna KHUDA k Liye

Kya Pata Humarey Naseeb Ki Khushya''n

Muntazir Hon Aap Ki Ek DUA k Liye
Karbala De Rahi Hai Musalsal Sada
Muntazir jane Kab Se Hai Ahle Wila

Jald ho Ab Zahoor e Imam e Zamam
Ay Khuda Hai Yehi Aarzoo e Wafa
"SHIKWA"
Mere tarapney ka sabab na puch a dost. koi be-reham mere armano ka soda kar ke chala gaya. Hum ne to her sukoon us ki mohabbat mein luta dia. Koi be-dard mujh se aisi jafa karke chala gaya. Mot ke saahil pe hr saans qaza ki Muntazir hai. Mohabbat mein aisi koi hum se wafa kar ke chala gaya.
Main khud gharz itna hoon k bas yehi chahoon.../

Rahein hamesha MERI Muntazir TERI ankhein.../
kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-Muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
khuab aankhon sey ab koi chura ker ley jaye
qaber k sookhey huye phool utha ler ley jaye

Muntazir phool mein khushbu ki tarah hun kab say
koi jhonkay ki tarah aaye urha ker ley jaye

ye bhi pani hai mager aankh ka aisa pani
jo hatheli sey rachi mehndi churha ker ley jaye

main muhabbat sey mahakta hua khat hun mujh ko
zindagi apni kitaabon mein chupa ker ley jaye

khaak insaaf hai,nabeena butoon key aagey
raat thaali mein charaaghon ko sajaa ker ley jaye

un say kehna k mein paidel nahi aaney wala
koi baadal mujhay kaandhey peh bitha ker ley jaye
Tere sabhi ghamon ko samait loon tujhe itna pyar doon ,,,
teri udasion ko mita ke teri her shaam nikhaar doon

terii aankhon main chhupi khizan mere dil pe aser kar gaee
tere wajood ko mehka de jo tere labon ko vo bahaar doon

terii ik muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta mager
jo milay tujhe khushi ager main apni jaan bhi waar doon

aagaya hai jo hijir ka daur tere mere dermiyan
jo milain mujhe fursatain yeh waqt ka qarz utaar doon

tunhaiyon ke tufaan se jo bikher gae hain sabhi
jo kahay tu ager aa teri her zulf ko sanwaar doon

meri ik nigah bhi hai terii ik nazer ki Muntazir
jo karay tu nazer idher tujhe duain beshumaar doon

na dhan se,daulat se na duniya se koi wasta mera
chale jo bas ager tere sang zindagii guzaar doon........!

In kitabo me titliyan rakh ja
kuch to aapni nishaniya rakh ja,

Log thak har ke na laut aaye,
raste me kahaniya rakh ja.

Muntazir Koyee to mille tujhko
Ghar ke bahar udasiyan rakh ja.

Aaj toofan bhi akela hai
tu bhi sahil pe kashtiya rakh ja.

Ho raha hai agar juda mujhse
meri ankho pe ungliya rakh ja.
Main Ikswin sadi main jana chaun ya na jana chahun,is say kya farq parta hai?waqt ka seel rawan,chahton ko bahata howa,sapnon ko dabota howa,ankhon ko bhigota howa,in masafton tak lay hi jaega jinhain abhi daikha nhi,main chalun ya na chalun,main rukun ya na rukun,main rahun ya na rahun,mere hone ya na hone say kya farq parta hai?waqt ka karwan to rukta hi nhi.ye chalta hai aur chalta hi rehta hai...dam tori biswin sadi bohat saray dukhon ko meri sanson ki mala main paro ker guzarti chali gai aur main mahi bay aab ki tarhan,dard k kinaray par khara,kisi maseeha ka Muntazir tha.
Jisne Shaoor Dia Mujhe Muskurane Ka
Usey Shouq Hai Ab Mujhe Shab-O-Roz Rulane Ka
Jo Lehron Se Cheen Ker Laya Tha Kinare Per
Muntazir Hai Ab Wohi Mere Doob Jane Ka