Main SMS Messages3698 messages

wo nahi mera mager us se MUHABBAT HE TO HAI
yeh agar rasmo riwajon se bagawat he to hai

sach ko Maine sach kaha jab keh diya to keh diya
ab zamaney ki nazarar maein ye himaakat he to hai

dost ban kar dushmano sa wo satata hai mujhe
phir bhi us pathar dil pe marna apni fitrat he to hai

kab kaha Mainey k wo mil jaye mujhko
uski bahon mein dum nikle ithni hasrat he to hai
Kahin sehra kahin sookhy shajar achy nhi lgty

Muje ab khwabzaaron k safar achy nhi lgty

Jawabi khat me yun usne mery bary me likha tha

Bura b keh nahi sakty mgr achy nahi lgty

Nahi masroof Main itna k ghar ka rasta bholon

Koi jab muntazir na ho to ghar achy nahi lagty

Smandr tairti lashon se ye kehta raha shab bhar

Mujhy b doobny walo, bhanwar achy nahi lgty

Nahi aisa k ab parwaz ki taqat nahi baqi

Meri ummeed k panchi ko pr achy nahi lgty... ;->
Meri zindgi ka tasawwar mery hath ki lakiren

Inhain kaash tum bdaltay to kuch or baat hoti

Ye khulay khulay se gesoo inhain laakh tum sanwaro

Meray hath sey sanwartay to kuch or baat hoti

Main tera aaina tha Main tera aaina hon

Mery samnay sanwarty to kuch or baat hoti

Abhi aankh hi larri thi k gira diya nazar se

Ye jo silsila barhatay to kuch or baat hoti

Hamein apni zindgi ka kuch ghum nhi hai lekin

Tery "aastaney" pe marty to kuch or baat hoti
ae rab tera insaaf bhi kesa hai alam-e-haqaqi Main,

samandr bhi use jase payas nahi or sahra use daya jase payas hai.
hum bhi khardny nakle thy wafa husan k bazar Main.

nalane kesa bazar tha k wafa k bahhao bara daye.
"ARZOO"

ik arzoo hy qubool parwardigar kry.

mai dair se jaon wo mera intizar kry,

apny hathon se sanware zulf meri,

wo itra kr mohobt ka iqrar kry,

lipat jaye mujse aalm-e-madhoshi Main,

aur josho janoon mai mohabat ka izhar kry,

ho shab wisal ki aise ya rab,

k choom k matha mujhe bedaar kry,

jb usy chor k chahon me jana,

vo roke ik aur rat ka israr kry,

qasam ''KHUDA" ki Main kisi or ka ho nhe sakta,

ye wada-e-wafa vo bar bar kry...
Jab teri yadoon ka dil Main diya jalta hai
To doobtay suraj Main chehra tera dikhta hai

ik hum hi dhar ba dhar phirtay hain warna
Ashyana to panchioon ko bhi roze milta hai

ik khawab jo dekha tha teri muhabbat ka
ab ban ke sheesha wo ankh Main chubta hai
Bataoo kaisa lagta hai
Jab Main nahi hota aas pass
Jab koi nahi chalta Aas pass
Jab dil Main ik durd uthta hai
Bataoo kaisa lagta hai
AAS
ajnabi sheher hai
Ajnabi log hain
Phir bhi Main chul raha hoon
Is Aas Main
Ke
Koi to apna ho ga
Koi to payara ho ga
Aye Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Mushkil Lagta Hai Us se Door Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Door Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
Atebaar ka haath thaam ker
Yaadon ko hamraah le ker
Is Masoom ne be-ikhtiyaar chaha!
Zindgi Main pehli baar
Dil ne kisi ko Dil se chaha!

Ek khoobsurat Etminaan ki tarhan
Tum hue hamari DUA ki tarhan
Hum ne tumhain Toot ker chaha!
Zindgi Main pehli baar
Dil ne kisi ko Dil se chaha!
jo banta raha humri nayoton ko jaan kar bhi rahmtain.

aaj hum ne hi us khuda ko ferqoon Main baant daya.