Khuwab SMS Messages86 messages

Apny is deewany say berukhi nahi achi..

Ghair sary loogon ki dosti nahi achi..

Tum meri aankhoon mien khuwaab ban k thery hoo..

Khuwab ki haqeeqat say dushmani nahi achi..

Hum tumhari chahat mien din raat tarapty rehty hien..

Youn kisi k jazbaat say dil lagi nahi achi...

Agar kisi say ulfat ka karoobar ho jay..

Zeesat tak nibha tu aarzi nahi achi..

Chand tere kirnoo say choor choor ho jay..

Soogwar ratoon mien chandni nahi achi........
SADA DÖÖR RAHO
GHAM KI
PARCHHAIYON
SE.,
SAAMNA
NA HO KABHI
TANHAIYON
SE.,
HER
ARMAAN
HER Khuwab
POORA HO
AAPKA.,
YEHI
DUA HAY
DIL KI
GEHRAIYON SE..,
Tere ikhlas say mohabat ki hai
Tere ehsas se mohabat ki hay
Mana tu paas nahi hai phir bhi hum nay
Teri yaad se mohabat ki hai
Kabhi tu ne bhi mujhe yaad kia hoga
Mainay teri yaad k lamhaat say mohabat ki hai
Jin mein hoon sirf teri or meri batein
Meinay un auqaat say mohabbat ki hai
Or jo mehkay hoon sirf teri hi mohabat say
Meinay un jazbat say mohabat ki hay
Tujh say milna to ab Khuwab sa lagta hai
Meinay tere intezar se mohabat ki hay
Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga
Zindagi me kamyabi ki MANZIL k liye Khuwab zarori hai
Or Khuwab dekhne k liye NEEND!
Tu apni MANZIL ki pehli siri charho!
Aur. . . . ,
So Jao
"GOOD NIGHT".
Chandni Raat Me Madhosh Hone Se Pehle


Khuwabon Ki Dunya Me Khone Se Pehle


Mene Socha Apko Yaad Dila Don


Kalma Parh Lena Sone Se Pehle...

GOodNite:)
Khuwab k phoolo ki tabeere kahani ho gayen khoon thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki AArzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .
Tu mera naam na poocha kar,
main teri zaat ka hissa hun,
main teri rooh main shamil hun,
main teri neend ka qissa hun,
main tere Khuwab ka hasil hun,
main teri yaad ka mehvar hun,
main teri saans ka jhonka hun,
tu manzar main pas-manzar hun,
main lamha hun,main jazba hun,
jazbay ka koi nam nahi,
tu mera naam na poocha kar!!
Sochta Huun k Usay bhi Neend Aati Ho gi
Ya Meri Terha Faqat Ashk Bahati Ho ti
Wo Meri Shakal Mera Naam bhoolne Waali
Apni Tasweer se ki aaankh milati ho gi
Is Zameen Per bhi hai Sailab Mere Ashko''n Se
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilati Ho gi
Shaam Hote Hi Chaukhat pe Jala Ker Shamae''n
Apni Palkon Pe Kai Khuwab Sajati ho gi
Us ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rung k Libaas
Ab Moharram Ki Terha Eid Manati ho gi
Hoti Hogi Mere Bosay Ki talab Main Pagal
Jab Zulfoon Main Koi Phool Sajati Ho gi
MEre Tareek Zamano Se Nikalne Waali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati ho gi
Dil Ki Masoom Ragain Khud hi Sulagti Hongi
Junhi Tasweer Ka Kona wo Jalati Ho gi
Roop De Ker Mujhe Us main Kisi Sehzaade ka
Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunaati Ho gi
Ker lea hai faisla kehna ossay
abb na hoga rabta kehna ossay
jis pe hum chalte rahen hain SATH SATH
kho gaya woh Rasta kehna ossay
teri YADEEN DIL se ruksat ho gain
ho chuka yeh saneha kehna ossay
abb na dekhay ga tumhara rasta
dil ko may samjha chuka kehna ossay
cheen se sone na dega Ghum tujhi
raat bher abb jagna kehna ossay
aashna bun ker na milna rah may
Dosti ek Khuwab tha kehna ossay
moer k pechay dekhtay hum bhi nahi
soch ker munh phairna kehna ossay
KiSi rOz miLo tAnhAi mEiN,
kiTNi bAtAiN kEhNi hEiN,
tErA hAtH pAkAr kAr rOnA hAi,
tEri aAnKhOn mEiN kHoNa hAi,
pHiR aAnKhOn sEy kUcH kEhNa hAi,
oR lAfzOn nEy chUp rEhNa hAi,
aAnSu bHi tO ziDd kArtAy hEiN,
INhAiN tErAy sAmnAy bEhnA hAi..!
kiSi rOz miLo tAnhAi mEiN,
KhuwabOn kI eK pArchAi mEiN.../
Youn toh guzar raha hai har aik pal khushi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath


rishtey,wafaein dosti sab kuch toh pass hai
kiya baat hai pata nahi dil kiun udaas hai

har lamha hai haseen naye dilkashi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

chahat bhi hai sakoon bhi hai dilbar bhi hai
aankhon mai Khuwab bhi hai labon pai hasi bhi hai

dil ko nahi hai koi shikayet kisi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

socha tha jaisa waisa hi jevan toh hai magar
ab aur kis talash mai bey chein hai nazar

qudrat ki toh meharbani hai darya-dili k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath