Khush SMS Messages904 messages

Hum ney Khushboo ki terha gam bhi akathey dekhey hain.Safa zeast ko palto gi to yaad aaon ga.Isi andaaz main mukhatab hoey they mujsay.Khat kisi aour ko likho gi to yaad aon ga.Sard raton k mehaktey hoey sannaton main jab kisi phoool ko choomo gi to yaad aon ga.haadsey aaeyn gey jeewan main to tum ho k nidhaal.kisi dewaar ko thamo gi to yaad aaon ga.Shaaal pehnaey ga kon december main.Baarishon main kabhi bheego gi to yaad aaonga.iss main shamil hai mere bakht ki bhi tariiiki maqsoood.Tum syaah rung jo pehno gi to yaad aonga.
Uddas logon say pyar kerna koi tu sekhy
safed lamho mian rang bharna koi tu sekhy

koi tu aaye khiza mian patty ugany wala
gulon ki Khushbo ko qeed kerna koi tu sekhy

koi dekhaye mohabbton k saraab mujh ko
meri nighaon say bat kerna koi tu sekhy

koi tu aaye naii rutoon ka pyaam laker
andheri rato mian chand bana koi tu sekhy

koi piyamber koi Imam-e-zaman hi aaye
Aseer zheno mian soch bhrna koi tu sekhy
chandni raat k hatho pay sawar utri hai.
koi Khushbu meri dehleez k paar utri hai.

iss main kuch rang bhi hain ,
khaab bhi khusbuain bhi.

jhilmilati huwi khwahish bhi, aarzoain bhi.
issi Khushbu main kayi dard bhi afsaanay bhi.

issi Khushbu nay banaay kayi dewanay bhi.
meray aanchil pay umeedo ki Qataar utri hai.

koi Khushbu meri dehleez k paar utri hai.
issi Khushbu say kayi yaad k dar kultay hain.

meray pairoo say jo leptay to safar khiltay hain.
yahi Khushbu jo meray ghar say utta layi thi.

ab kissi toar palat kar nahein janay daiti.
meri dehleez bulaati hai mujhay loat aao.

yahi Khushbu mujhay wapas nahein aanay daiti.
ranj aur dard main doobi yeh bahar utri hai.
koi Khushbu meri dehleez k paar utri hai
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,

Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,

Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,

Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,

Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,

Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
Vo Khush hue jab hum dil se roye,
Raat bhar jage to vo chain se soye,
Unhe de di humne phoolo ki sajja,
Aur sare katein apne path par boye
Dhadkan ke liye dil chahiye,
Dil ke liye pyaar chahiye,
Pyaar ke liye Khushi chahiye,
Khushi ke liye yaar chahiye,
Aur yaar ke liye aap chahiye.
Wafa jab maslehat ki shawl orhey
Sard raat ka roop dharey
Dil ke aangan main utarti hey
To palkon par sitaaron ki dhanak muskaaney lagti hey
Kabhi khwabon ke an-chuey heowlon sey bhi
An-dekhi si anjaani si Khushboo aaney lagti hey
Kisi ke sang beetey, an-ginat lamhon ki zangeerain
Achanak zehan main jab gungunaati hain
Nafas ke taar main sannata sa yakdam cheekh uthta hey
To yun mehsoos hota hey
Hawayen aa ker sargoshi karti hain
"Mohabbat ka tumhain idraak ab to ho gaya ho ga?"
Ye jo bhi zakhm deti hey, kabhi seeney naheen deti
Mohabbat rooth jaaye to, kabhi jeeney naheen deti..
BATAOO KAYSA LAGTA HAI???????
.
Ksi Veeran Rastay Pay,
Ksi Anjan Rastay Pay,
Ksi Ka Saath Mil Jana,
Khushi K Phool Khil Jana,
.
.
BATAOO KAYSA LAGTA HAI???????
.
OR us k baad phir Ek Din,
Ksi Ka you Bichar Jana,
Sabi Rangoo ka Mit Jana,
Woh Band Muthi Main,
Faqt Kuch Rayt Rah Jana,
.
.
BATAOO KAYSA LAGTA HAI????
itanaa TuuTaa huun ki chhune se bikhar jaongaa
ab agar aur duaa doge to mar jaauungaa

lekar meraa pataa vaqt raayagaa na karo
main to banjaaraa huun kyaa jaane kidhar jaauungaa

is taraf dhundh hai jugnuu hai na chiraaG koii
kaun pahachaanegaa bastii mein agar jaauungaa

zindagii main bhii musaafir huun terii kashtii kaa
tuu jahaan mujh se kahegii main utar jaauungaa

yahaan rah jaayenge guldaano mein yaadon kii nazar
main to Khushbuu huun fizaaon mein bikahr jaauungaa
dil zakham zakham hai toh ankhein be ashqbaar hein
kitna fareb khaye mohabat o pyar mein

ankhein dasht dasht hein dil bi dukha houa
guzra tha aj wo be humein dekhta houa

hontoon pe muskurahat ankhoon mein hai nami si
wo samney hai phir be hai kuch kami si

tum moonh se na bolo ankhein toh batati hein
kya jee mein tumarey hai hum khoob samajtey hein

ankhein hazar sabar ki koshish ke bawjood
ruk ruk ke baar baar barasti hein ajj bi

Khushk ankhoon ki lakeerein pata deti hein
karwan_e_gham ka isi rah se guzr hoga!!.
batata hai mujhe aiyna kesey berukhi se
ke mein mehroom hota ja raha hoon roshni se

kisey ilzaam doon mein raigaan honey ka apney
ke sarey fesley mein ne kiye khud hi Khushi se

har ik lamha rehti hai taza aik shikaiyat
kabi tujh se kabi khud se kabi iss zindagi se

mujhe ab tak bahot khawaish thi khud se guftagu ki
mein chupta phir raha hoon ajj apney app hi se

jo chahe wo sitam mujh par rawa rakhey ye duniya
mujhe yun be tawaqo ab nhin kuch be kissi se!!!
Kabhi Aansoo kabhi Khushboo kabhi naghma ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Meri jaagi hoi raaton ko usi ki hai talaash

Soo raha hai meri Aankhon mai jo sapna ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker

Kabhi aansoo kabhi Khushboo kabhi naghma ban ker

Raat bhi agar aye tu bhujti nahi chehrey ki chamak

Rooh mai phail gya hai wo ujala ban ker

Dhoop mai wo khoo gya hath chorwa ker Raheel

Ghar sey jo sath chala tha mera saaya ban ker

Hum sey har shaam mili hai tera chehra ban ker