Kamal SMS Messages93 messages

Q : Duniya Ke Woh 2 kon se Juram hain jo Paya Takmeel Tak Poonch jaye tu Duniya ki Koi taqaat (Power) Saza (punishment) nahi de sakti ,ager woh Na MuKamal ( uncompelte ) rahay tu Saza de ja sakti hai ???

Ans : 1- Sucide and 2- Bar Saray Iqtidar ( Become Prisident of Country as like Musharaf )
Har Ladki Aapke Liye Bekarar Hai
Har Ladki Ko Aap Ka Intezar Hai

Ye Aap Ka Koi Kamal Nahi

Kuch He Dino Me Raakhi Ka Tyohaar He.
abhi tu ishq mai aisa bhi hal hona hay
k ashk rokna tum say muhal huna hay


har aikh lab pay hain mere wafa k afsanay
teray sitam ko abhi la-zwal hona hay


yaja ka khara hain lakin bahar ki rut main
yah tay hay ab k hamain bhi nihal hona hay


tumhain khabar hi nahin tum tu lout jaou gay
tumharay hijar mai lamha bhi saal huna hay


hamari rooh pay jab bhi azab utrain gay
tumhari yad ko iss dil ki dhal huna hay


kabhi tu roay ga woh kisi ki bahon main
kabhi tu us ki hansi ko zawal huna hay


milain gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushian
bas yah intazar hay kab yah Kamal huna hay


har aik shakhs chlay ga hamri rahoon per
muhabbaton mai hamain woh bay misal hona hay
USEY APNE FARDA KE FEQAR THEE, WHO MERA WAQIFE HAL NA THA, JO US KE SOBHE UROOJ THEE, WOH MERA WAQTE ZWAL THA, SADYON BAD MELA BHEE TO MEREY LAB PAY KOI GELA NA HA, USEY MEREE CHUP NEY RULA DEYA, JESEY GUFTGO PAY Kamal THA
DUA KEE SURAT MAIN US KEE KHATIR, JO MEREY HONTON SEY LFAZ NEKLEY, JO MEREE AANKHON SEY ASHAK NEKLE, UN K BADLEY MAIN AAY KHODYA, TU JAB BHEE US A NASEEB LEKHAN, UROOJ LEKHAN Kamal LEKHNA, KABHEE NA LAFZE ZWAL LEKHNA.
Usay apnay dard ki fikar thi
Wo jo mera wakf-e-hal tha
Wo jo us ki subh-e-urooj thi
Wohi mera waqt-e-zawal tha
Mera dard kaisay wo janta
Meri bat kaisay wo manta
Wo to khud fana k safar mein tha
Usay rokna hi muhal tha
Kahan jao gay mujhay chor kar
Mein yeh pooch pooch kar thak gaya
Wo jawab mujh ko na de saka
Who to khud srapa-e-sawal tha
Wo mila to sadion k bad bhi meray lab per koi gila na tha
Usay meri chup nay rula dia jisay guftagu main Kamal tha
Kisi ka ishq kisi ka khyal thay hum bhi,
Gaye dinon main bohat ba Kamal thay hum bhi,
Hamari khoj main rehti thein titlyan aksar,
K apnay shehr ka husn-o-jamal thay hum bhi,
Zameen ki goad main sir rekh k so gaey aakhir,
Tumharay hijr main kitnay nidhal thay hum bhi,
Zaroration ne hamara zamer chaat liya,
Wagarna qaa’el-e-rizq-a-halal thay hum bhi,
Hum ask ask bikhartay rahay isi dhun main,
K zindagi main kabhi laazwal thay hum bhi!
Suno
Jahan sawal k badlay sawal hota hai
Wahin mohabbaton ka zawal hota hai
Kisi ko apna banana hunar he sahi
Kisi ka ban k rehna Kamal hota ha
Woh admi hai aam sa
Ik qisa na tamam sa
Na lehja bemisal hai
Na baat mein Kamal hai
Hai dekhnay mein aam sa
Udasion ki sham sa
Jaisay ik raaz hai
Khu say beniaz hai
Na mehjabinon say rabata hai
Na shurton ka khab hai
Ranjha na qias hai
Insha na faiz hai
Woh pekar e ishlas hai
Wafa dua aura as hai
Tumhi karo faisala
Woh
Aadmi hai aam say a phir bhohat hai khas hai?
Na main pass us ko bola saka.
Na main dil ki baat bata saka.
Wo hansi hansi main hi chal dia.
Main hath tak na hila saka.
Kahan jao gay mujay choor kar.
Main yah poch poch kar thak gaya.
Wo jawab muj ko na dai saka.
Wo tou khud sarapa sawal tha.
Wo mila tou sadion k baad b.
Meray lab pay koi gila na tha.
Usay meri chup nay rola dia.
Jisay guftago main Kamal tha..
Sochta hoon taire bare main apna kheyal likhoon
tairi tehreef likhoon ya khuda ka Kamal likhoon

maire qalam se aur koi tehreer ban na paaey
main jab bhe likhoon bas taira hus-ne-jamal likhoon

main ne ek ummer kati ha tenhaiyoon main
kaghaz k aik tukre pe kaise main hal likhoon

her zindgi ko urooj tak jo rahnamai de
main apni zindgi ki aaisi misal likhoon

maire baad bhe muje loog kitaboon main dein jaga
main apne urooj ki terha apna zawal likhoon
~~Daaman~~
youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
mere aansooyon se tera daaman jal na jaaye
woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
ae khudaya kahin meri neend khul na jaaye
poocha na kar sab ke saamne meri kahani
kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
jee bhar ke dekh lo "Kamal" ko tum sanam
kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye