Kaam SMS Messages240 messages

Be-Pardgi ka Aalam
Main kya Bataon

Zehrila Saanp hai ye
Ummat ko das na jaey

Har simt dekh lo ab Uryani, Be_Hayaai

Ghairon se hai muhabbat
Apnon se Bewafai

Behnon k Mashghalon se bhai bhi be_khabar hen

Poochhen tou kis tarha Wo
Jab khud idhar udhar hen

Beti bhi LaadLi hai
Parda karay tou kesay

Aangan me apne ghar k
Jee ko bharay to kesay

Ye Aqal hai maghrib ki
or Kaam Himaqat k

Lo Ho gaey Numaaya
Aasaar Qayamat k!
Uuffoohh!!
Dosti ka sara Kaam mujhe he karna parta hai

Love bhi

Miss bhi

Care bhi

Sms bhi

Chalo ab eik Kaam aap bhi kar do. . .

Eik sweet see smile pas kar do. . .
Ta''kay hamari

Morning
Very Very Good Ho jae . ;->
Chand ko bheja hai pehredaar
Taron ko saupa hai nigrani ka Kaam.
Raat ne zari kiya hai farmaan,
Sare sweet dreams bas apke naam.
Gud Nit
Apne dil ki sun afwahon se Kaam na le

Mujhe yad rakh beshak naam na le

Tera veham hai k hum bhool gaye tujhe

Meri koi aisi saans nai jo tera naam na le
Teray galay main jo banhon ko daal rakhtay hain
Tujhey manaanay kaa kaisaa kamaal rakhtay hain

Tujhey khabar hay tujhey soochnay ki khatir hum
Bohat say Kaam mukaddar pay taal rakhtay hain

Koee bhee faislaa hum sooch kar naheen kartay
Tumhaaray naam kaa sikka uchaal rakhtay hain
mein roi tu nahi hoon"
na jana kyon mera kaajal
jab bhi dalo ankh mein
ab aksar phale jata hai
mein roi tu nahi hoon......


tum tu janatay ho in dinoon
boht hi thand hoti hai
tab hi hai naak surkh mere
mein roi tu nahi hoon........


kaha tu hai youn hi bus
bheega hai anchal k kona
choro tum fikar mat keroo
mein roi tu nahi hoon.......


nahi,odass kab hoon mein?
ziada Kaam k bays
thaka-wat ho hi jati hai
mein roi tu nahi hoon..........


eid aye hai , wo ab bhi
nahi ata tu na ay
ab is ki yadd mein dekho
mein roi tu nahi hoon........


bata dena is ko ja ker
kahin khoosh-fahmi na koi palay
waisay hi surkh hain ankhain
mein roi tu nahi hoon..........
zikr-e-shab-e-firaq se vehshat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalane ki aadat use bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagoo
masroof main bhi kam thaa faragat use bhi thi

sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyaan
taza rafaqaton ki zaroorat use bhi thi

mujh se bichar ke shaher main ghul mil gaya vo shaKhs
haalaa ke shahar bhar se raqabat use bhi thi

"KASH"na jan khud ko naKaam kay bad zouq,
woh mana nahi par tujh say mohabbat usay bhi thi,

vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha ji gaya
varna har ek saans qayamat use bhi thi
Kiss qadar Kaam barha deti hain yaadein usski
Neend aankhon se uraa deti hain yaadein usski

Main ne chaha jisko, ussko maalooom bhi nahi
Mujhko aur bhi deewaana bana deti hain yaadein usski

Main bhatakta hoon agar raat ke andhere mein
Hosla aur bhi barha deti hain yaadein usski

Jab uthaata hoon nighahein kisi aur chehre ki taraf
Dil mein ik toofaan uthaa deti hain yaadein usski

jab bhi dil mein hota hai gumaan usski rafaaQat ka
Faasle aur bhi barha deti hain yaadein usski...
Uski Yaadon Main Us ki Baaton Main
Kahi''n mera Aks Bhi jhilmilata Ho ga
Laakh Masroof Sahi Apne Kaamo''n Main
Phir bhi Humain Soch Ker Kabhi to Muskurata hoga
Zakhm aisa diya ke koi dawa Kaam na aaye
aag aisi lagayi ke paani se bhi na bhuj paaye
Aaj bhi rote hai unhe yaad karke
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE
muKaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyaar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma k sitaro ki tarah hamare armaan bhi bikhrte rehte hai,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta
Har waqt Kaam mein itne na ulajh jaya karo,
Kabhi hamari yaad ko bhi dil mein laya karo,

Milnay ka waqt maat nikalo par,
Kabhi apne sms ki awaz to sunaya karo.