Jheel SMS Messages32 messages

Kuch Na Kehna
Chup Chup Rehna
Ye b Ek Udasi Hy.
Hans k Saray Sadmay Sehna
Ye b Ek Udasi Hy.
Bethay Bethay Kho Sa Jana
Yun Hi Dur Khyalon Main.
Chalte Chalte Hanste Rehna
Ye b Ek Udasi Hy.
Maar k Kankar Lehrain Gin'na
Beth k Jheel Kinaray Pr.
Kuch Logon Ka Hy Ye Kehna
Ye b Ek Udasi Hy…
kiya likhon tery naam sajan
tuje sochon subho sham sajan
tm neeli Jheel ka pani ho
mohobbat ki ek kahani ho
tm pyar ka meethe bol ho
tm hr ek se anmol ho
tm aasman ka badal ho
tm mari aankh ka kaajal ho
tm mere mann ki jeet ho
mere labon ka geet ho
tm chaman me khilta gulaab ho
chahat se likhi kitaab ho
tm mere liye mere sanam ho
jo toot na sake wo kasam ho
kiya likhon tery nam sajan
tumhe sochoun subho shaam sajan
Chalo Hum Maan Lete Hain,
Ye Duniya Jhoot Kehti Hy,
…Tumhe Hum Se Nahi Ulfat,
Chalo Hum Maan Lete Hain,
Tumhari Be’qrari Ki,
Wajha Kuch Aur Hi Hogi,
Nigaahen Mujse Milte Hi,
Tumhare Muskrane Ka,
Sabab Kuch Aur Hi Hoga,
Jise Km’fehm Logon Ne,
Mohabbat Naam De Daala,
Mgr Itna Bataa Do Tum,
Bicharte Waqt Jan-E-Jaan!
Palat Kr Dekh K Hum Ko,
Tumhari Jheel Si Aankhen,
Chalakti Ja Rhi Thi Kyun…??
Hame Tarpaa Rhi Thi Kyun…….?
PAANI

AASMAN KI TARAF UTHAY TU BHAAB
AASMAN SE NEECHAY AAY TU BARISH
JUM KAR GIRAY TO AULAY
GIR KAR JAMAY TO BURF
PHOOL KI PATTI PER HU TO SHABNAM
PATTI SAE NIKLAY TU ARAG
JAMAH HU JAYE TU Jheel
BEH JAYAE TO NADI
JISM SAE NIKLAY TU PASEENA
AANKHOON SAE NIKLAY TU AANSU
Jo khud pe Jheel chukey hon karb totey hue dil ka
Wo kisi ka dil dhukhaney par aamada nahi hotey…/
khud apnay liye beth ker sochein gay kisi din
yun hai k tujhay bhool ker dekhein gay kisi din

bhatkay huay phirtay hain kai lafz jo dil mein
dunya nay diya wqt to likhein gay kisi din

hil jaein gay ik baar to arsh k dar o baam
ye khak nasheen log jo bolein gay kisi din

jati hai kisi Jheel ki gehrai kahan tak
ankhon mein teri doob k dekhein gay kisi din

khushboo say bhari shaam mein jugnoo k qalm say
ik nazm teray wastay likhein gay kisi din

soein gay teri aankh ki khalwat mein kisi raat
saye meinb teri zulf k jagein gay kisi din.../
ab kis say kahein aur kon sunay jo hal tumharay bad huwa is dil ki Jheel si akhon mein ek khuwab bohat barbad huwa is shehar mein kitnay chehray thay kuch yad nahi sab bhool gay ek shakhs kitabon jaisa thaw oh shakhs zabani yad huwa
Yea Hii Wada Liya Tha Na
Hamesha Khush Hi Rena Hai
To Dekhoo.....Dekh Loo Aaa Kar
Mairy Ankhoo Ko Dekhoo Tum
Yea Kitni Shokh Lagti Hain
Mairy Hontoo Ko Dekhoo Tum
Hameesha Muskratey Hain
Koi Bhi Gham Aghar Aya
Ussy Hans Kar Saha Main Ney
Mairy Cherey Ko Dekhoo Tum
Hamesha Purskoon Hoo Ga
Tum Sochoo Gay
Kiya Tha Main Ney Jo Tum Say
Woo Wada Kar Diya Poora
Magar Aik Baat Hai Sanam
Kabhi Joo Waqat Mil Jayee
To Mairy Shairey Parna
Tumain Mehsoos To Ho Ga
Kehain Talkhi Bhara Lehja
Kehain Pey Sard Sa Lehja
Kehain Pey Dard Ki Jheelay
Kehain Leajhy Ki Karwahat
Snooo...............
Main Khush To Hoo Lekan
Lahoo Har Lafz Roota Hai
Lahoo Har Lafz Roota Hai
Koi Chupke Chupke kehta hai.

Koi geet likho meri ankhon per.

Koi sher kaho meri baton per.

In khushbo jese lafzoo per.

Chup Chap me sunta rehta hoo.

Phir us ki Jheel si ankhon per.

Eik taza ghazal kehdeta hoo.

Or us k phool si baton per.

Eik geet naya likh deta hoo.

Yeh geet ghazal yeh sher mere.

Sub uske husun k sur to hain.

Sub uski ankh ka kajal hain.

Sub uske roop ka darshan ha.

Koi geet likho meri ankho per.

KOI CHUPKE CHUPKE KEHTA HAI
Jheel Mein Chaand Nazar Aye Thi Hasarat Usaki
Kab Se Ankhon Mein Liye Baitha Huun Surat Usaki

Ek Din Mere Kinaron Mein Simat Jayegi
Tehare Paani Si Yeh Khamosh Muhabaat Usaki

Bandh Mutii Ki Tarah Woh Kabhi Khulata Hi Nahin
Faasale Aur Badaa Deti Hai Kurbat Usaki

Kisne Jaana Hai Badalate Hua Mausam Ka Mizaaz
Usko Chaho Toh Samaj Paaoge Fitrat Usaki
Surkh gulab ke sare mausam ter naam

Har subha ka pehla hjala tere naam

Teri yaad ka Beehta darya mary liye

Behti Jheel main pholl kANWAL ka tere naam

Jitnay Khawab Khuda ney mary naam likhay

Un khawabon ka lambha lambha tere naam

Teer bina jo umer beet gai

Ab es umer ka baqi hissa tere naam
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay



Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay


Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay


Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay


Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik Aankh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mujh Ko Kam Numa Sa Lagay...