Fasal SMS Messages6 messages

Tumhare Gam Ka Mausam Hai Abhi Tak,
Lab-E-Tashnaa Pe Shabnam Hai Abhi Tak,

Safar Mein Aable Hi Aable The,
Magar Pairon Mein Dam-Kham Hai Abhi Tak,

Tumhare Band Dar Mujhse Khafa Hai,
Mere Jeene Ka Matam Hai Abhi Tak,

Teri Aab-O-Hawa Raas Aa Gayi Thi,
Bichhad Jaane Ka Kuch Gam Hai Abhi Tak,

Gayi Rutt Mein Hui Thi Fasal Achhi,
Idhar Paani Gira Kam Hai Abhi Tak,

Main Khud Ko Dhundta Phirta Hoon Sab Mein,
Junoon Ka Ek Aalam Hai Abhi Tak..
meri rooh main jo uter sekain woh mohabbatin mujhay chahiyain
jo saraab hoon na aazab hoon woh rafaqatain mujhay chahiyain


inhain saetoon ki talash hay jo calenderoon say uter gain
jo samay k sath guzar gain wohi fursatain mujhay chahiyain


kahin mil sekain to samait la meray roz-o-shab ki kahaniyan
jo ghabaar waqt main chup gain woh hiqayatain mujhay chahiyain


jo meri shaboon ka charagh thay jo meri umeed k baagh thay
wohi log hain meri arazo wohi souratain mujhay chahiyain


teri qerbatain nahi chahiayin meri shairy k mizaaj ko
mujhay Fasaloon say doaam day teri ferqatain mujhay chahiyain
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Kia Khaber Thi Is Qadar Na’ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay Dil Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to Fasala nikalay
Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal Fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
Part 2

iss aitbaar sey fee aikard 12000 sey zaid ka kharcha aata hai aur Fasal ka aitbaar naheen.

Behtar yehi hai k Fasal na bhoyein aur kissi sey lardayee kar lein

"6 mahiney hakumat sey chawal khao"

Mehkama Zaarat Hakumatey Punjab