Dil ke bazaar mai dowlat nahi dakhi jati Dosti ho jaye tu sora nahi daikhi jati Dosti pe luta don apna sab kuch Kionky pasand ki cheez ho tu qeemat nahi daikhi jati
Aik din bahroon k phool murjha jayeenge, jab bhule se kabhi hum yaad aayeenge, ahsas hoga tumhein humari Dosti ka jab, duur bahat duur hum tum se chale jayeenge!
Dosti sachi ho to waqt ruk jata hai, Aasman lakh ucha ho magar jhuk jata hai. Dosti mein duniya lakh baney rukavat, Agar Dosti sach ho toh khuda bhi jhuk jata hai.
Dekhi Hazaron Mehfilen, Par Ye Fiza Kuch Aur Hai, Jalwe Dekhe Hazaron Par Unki Adaa Kuch Aur Hai, Waise To Jaam Hain Hazaron, Par Unki Dosti Ka Nasha Kuch Aur Hai.!