Dil se SMS Messages216 messages

Aaina Hoon Main Mere Samne Aakar To Deakho
Khud Nazar Aaogi Zara Aankh Mila Kar To
Deakho

Mere Gham Mein Meri Takdeer Nazar AatiHain
Dagmaga Jaogi Mera Dard Utha Kar To Deakho

Yu To Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Raaha Se Jaakar To Deakho

Dil Tumhara Hai Main Yeh Jaan Bhe Dedon Tum Par
Bas Mera Saath Zara Dil se Nibha Kar To Deakho

Mouth Barhaq Hai Magar Tum Se Waada Hai Mera
Lout Aaoga Tum Ek Bar Bula Kar To Deakho
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Nighaa-e-mast ke mastiaayyn.....
kisi BAdNASEEB pe daal daiiiii....,,
kisi ''dardmand'' k To kaAM aaa...
kisi dobtaiii ko uchhhaaal daiiii....
maI iSI KHAYAAAL SE ajj tak,....!!
tUghaI "DIL"ke baat na batasaka,
tO jo dard-e-Dil se haiii baikhabar,
kahiN "MUSKURAA" K Naa TAal dai.
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Ha
teri yadoon ke bina koi lamha guzara nhin
ik pal nhin jub tumein hum ne pukara nhin

meri nakamiyun ka itna be gham na ki jiye
agar app jeetey hein toh mein hara nhin

ye naqsh_e_dard kesey utara jayein chehrey se
mein ne abi app ka gham Dil se utara nhin

tere bin yoon kat rahi darya_e_zindagi mein
kashti be hai maaji be hai kinara nhin

kar rakha hai jiss ne sarey ghar mein ujala
ansoo hein mera ye koi toota houa tara nhin

kiss ko galey laga ke royein namuraad hum
iss bhari duniya mein apna koi sahara nhin

mareez_e_ishq hai tamanai khudkushi ka ab
gehrey hein dil ke zakham aur koi chara nhin!
Pyar kiya to unki mohabat nazar ayi,

dard hua hume to palke unki bhar ayi.

Do dilo ki dhadkan me ek bat nazar ayi,

dil to unka dhadka par awaz is Dil se ayi.
Kitne We Itmenaan Se Thukra Gaya Mujhe

Anso Bana k Ankh Se Tapka Gya Mujhe

Kaisi Rehbari Thi Yeh Kaisa Fareb Tha

Manzil Dekha K Raah se Bhatka Gya Mujhe

Khamosh Nighaon Se Kahani Suna Gaya

Lafzoon k Hair Phair Mai atka Gya Mujhe

Muj Ko Bhi Bachpany Ka ek Mazak Samjh Kar

Choti Se Ek hansi Mai He Ura Gya Mujhe

Do Din Mai Us k Dil se mUhabat utar Gai

Aur Do hi Din Mai Yad se MIta Gya Mujhe
Nikal Kar Dil se Tere Wastay Sada Ayi,
Uthay Hath To Yaad Ek Dua Ayi,
K Teri Umar Ko Duniya Ki Umar LaG Jaye,
WaQt Saal Ginay Or Gin Gin K Thak Jaye.
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi Dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
Benaam Sa Ye Dard...Thehar kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai...Woh Guzar Kyon Nahi Jata.


Sab Kuch To Hai...Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai...Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata..


Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil se Utar Kyon Nahi Jata...


Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab...Main Udhar Kyon Nahi Jata...


Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata...!
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
Dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch

waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai maen nay maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch
"Tujhe bholkar bhi na bhool payenge hum, Bas yehi ek wada nibha payenge hum, Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam Dil se na mita payenge hum..