Bhool ja SMS Messages166 messages

Zara dhehaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Wafa ka maan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Kahan es umer main hum bhes badlain gain faqeron ka
Milan asaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Judai k dino main loog chehray Bhool jatay hain
Meri pehchaan rakhna
Ye meri pehli muhabbat hai
Us Ne Ek Bar Mujh Se Poocha
K Batao
Mujhe Kitna Yaad Kerte Ho
Mai Ne Kaha
Bohat Zyada
Us Ne Doobara Sawal Kiya
K Phir Bhi Aakhir Batao To Sahi
Mai Ne Kaha
Bohat Bohat Bohat Zyada
Mera Jawab Sun Ker Wo Zer-e-Lab Muskurayi
Aur Kaha
"Ab Mujhe Se Bhi To Poocho"
Aur Jab Mai Ne Poocha
To Us Ki Muskurahat Gehri Hoti Chali Gayi
Aur Halka Sa Gulabhi Rang
Us K Chehre Pe Aa Ker Guzar Gya
Us Ne Mujhe Doobi Hoi Nazron Se Dekha
Phir Palken Jhuka Ker Boli
"Pagal"
Yaad To Unhe Kiya Jata Hai
Jinhe Aadmi Bhool jaye
KyuN bAr bAr tuJh kO MoHoBBaT JAtAon mAin,
BeHtAr hAi aB yEhi K TuJhE Bhool jaOn mAin..

WaqiF tErE sAluq sE SArA jAhAn hAi,
PhiR Kyu ziNdAgE kO oR TAMASHA bAnAo mAin..

NaFrAt kA eK bAr iZhAr To kArEn sAri umAr Jo uN kO SURAT diKhOn MÄiN..

HaSrAt bhAri nigAh kA KOi sAbAb tO hAi,
Tu hAaLe diL tO pUch KAhiN MAR nA jAoN mAin..

GhAm kA mErE iLaAj jAb tU bHi nA kAr sAkA,
PhiR kYu nA iS JAHAN sE piChA CHURAON mAin...
soocha osay Bhool jaon......
bahoot soocha
osay sab khuch
bata doon
laiken jab
wo samnay
hoty hey
os ka chehra
dekhta hoon
ankhoon per
nazar parti
hey...
tu ehsas
hota hey
wo
mere hey
bas
mere hey...
Tu Nay Kaha K Ishq Tu Dhong Hai
Tujhay Ishq Ho Khuda Karay

Koi Tujh Ko Us Say Juda Karay
Teray Hont Hansna Bhool jaein
Teri Aankh Pur Num Raha Karay

Tu Uski Batein Kia Karay
Tu Usko Dekh K Ro Paray

Tujhay Hijr Ki Woh Jhari Lagay
Tu Milan Ki Har Pal Dua Karay

Teray Khuwab Bikhein Toot Kar
Tu Kirchi Kirchi Chuna Karay

Tu Nagar Nagar Phira Karay
Tu Gali Gali Sada Karay

Tujhay Ishq Ho Phir Yaeen Ho
Usay Tasbihon Pay Parha Karay

Mein Kahon K Ishq Tu Dhong Hai
Tu Nahi Nahi Kiya Karay
Bs Itni C Inayat Mjh Pe Ek Bar Ki Jye
Kbhi Aa k Mere Zakhmo''n Ka Deedar Ki Jye
Ho Jaye Begane Aap Shauq Se Sanam
Aap k Hyn Aap k Rahenge Aitbar Ki Jye
Parhne Wale Hi Darr Jayen Dkh Kr Isy
Kitab-e-Dil Ko Itna Na Daaghdar Ki Jye
Na Majbur Ki Jye, k Me Un Ko Bhool jaon
Mjhe Meri Wafaon Ka Na Gunahgar Ki Jye
In Jalte Diyon Ko Dkh Kr Na Muskuraiye
Zara Hawaon K Chalne Ka Intizar Ki Jye
Krna Hy Ishq Aap Se Krte Rahenge Hum
Jo B Krna Hy Aap Ko Mere Sarkar Ki Jye
milain hm bhi kabhi tu k hijab Bhool jay
me swal Bhool jaon wo jwab Bhool jay
wo kisi kheal mn ho aur isi kheal mn hi
kabhi mery rasty mn wo gulab Bhool jay
jo kabhi tu parhny bethy mujy harf harf dekhy
teri ankhin bheeg jain tu kitab Bhool jay
teri sooch pr hawi ho meri yad iss tarh say
k tu apni zindgi ka ya nisab Bhool jaay
wo jo dekhy meri janib tu bachon mn aik gunah sy
usy dekh lon man itna k sharab Bhool jay
mujhy gham wo dey rha ha magar iss py chahta ha
me hissab rakh na paon wo hissab Bhool jay
jio is andaz se jamane ko pasand aaye,
piyo is andaz se yea zamana bahak jaye,
is kadar chipa lo dil me gam e ishq,
jamana hanse or woh apne gam Bhool jaye
Mujhe tum nahi Samjhe
Mai tum ko nahi samjha
Mohhabat to Mohhabat hai
Mohhabat Ker Kay Mai Samjha
Jise Jitna Main Chahoon Ga
Wo To Uttna Na Chahey Ga.

Mager Ye Waqt Ne Batlaya
Jo Tujh Ko Bhool jaye Ga
Ek Roz Uspe Pe Bhi Kabhi
Ye Waqt To Aye Ga.

Tu Usko Yaad Aye Ga.
Bouhat Uss Ko Rulaye Ga.
Han !
Ek Roz To Eesa Bhi Waqt
Aa Hi Jaye Ga.
Faqt Wo Pathtaye Ga.
Faqt Wo Pathtaye Ga.
~*~Bhool ja..~*~!!

Jo Tera Na Ho Saka Usey Bhool ja
Woh Lamha Khawab Samajh Ker Bhool ja
Na Ker Woh Khwaish Jo Puri Na Ho Sakey
Jo Na Mil Saka Usey Bhool ja
Na Ker Waqt Barbaad Purani Yaadon Mein
Khul Ker Hans Le Aur Gham Ko Bhool ja
Zindagi Naam Hai Aagay Bharne Ka
Kal Ko Kal Hi Rehne De Sab Bhool ja
Nahi Mujh Ko Bulao Tum
Tumhain Ghairon Ka Hona Hai
Mujeh AB Bhool jao
Mere Her SMS Ko Perh Ke
Ab Khushi Mehsoos Mat Kerna
Abhi Unko Uraoo
Tumhain Ghairon Ka Hona Hai
Yehi To Akhri Shab Hai
Ke Kismat Mein Bicherna Hai
Zara Sa Muskurao
Tumhain Ghairon Ka Hona Hai
Mujhse Thay Jo Rishte Bhool jao
Tumhain Ghairon Ka Hona Hai
zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo Bhool jatay hain

kaise lagi aap sub ko?????????????