BAAT SMS Messages1063 messages

Lawyer to sardar:geeta pe hath rakho
Sardar:Kamal hai, Seeta pe hath rakha
to BAAT court tak pohanch gaye,
ab bol raha he geeta pe hath rakho:p
Agr koi pyari si larki ap ko BHAI kahy to ghabrany ki BAAT nahe.
.
.
.
.
.
.
Us lrki ko zabrdast sa thapr marain or kahain:Yhan kahan ghom rahe ho,jao ghr jao.

Bas Yahi BAAT Dil TORNAy K Liye Kafi Hay

"Faraz"

.

.

.

.

The Number u Have Dialed Is Busy On Another Call...!
English Teacher:

"Wo larki sab larkon se hans kar BAAT karti hai."

Batao iss sentence main larki kya hai??

Sardar: "Sir larki 2 number hai.. :-D
Basti mein hai wo sannata k jangal maat lagy..
Shaam dhaly bhi ghar pohanchon to aadhi raat lagy..
Khat mein dil ki batein likhna achi BAAT nahi,
Ghar mein itnay log hein jaany kis k haath lagy…
Un sy bichray dil ko ujray barson beet gaye,
Aankhon ka ye hal abhi tak kal ki BAAT lagy…
Mutthi band kiye baitha hon k koi daikh naa ly,
K chaand pakarny ghar sy nikla “jugnoo” haath lagy
Kash main keh sakoon kabhi tm se
Dil ki har bat ankahi tm se.......... ...
Kash main keh sakoon kabhi ye bhi
bari mushkil hai dil lagi tm se
Kash ke main keh sakoon ke tm kya ho
Hai mere dil main chandni tm se
Kash main keh sakoon kabhi ke mujhe
BAAT karni hai zaroori tm se
Kash ke ye bhi kabhi pooch sakoon
kaise hoti hai berukhi tm se
Kash wo waqt bhi ajaye ke ho
meri duniya main roshni tm se
Kash ye raz keh sakoon main kabhi
Hai ahseen meri shairi tm se
Kash lafzon main kabhi keh paoon
Mil ke hoti hai jo khushi tm se
Kash ye umr yoon guzar jaye
meri yadain rahain saji tm se.
Tere IsHQ ne Bakhshi Hai Ye Soghat Musalsal,

Tera zikar Hamesha Teri BAAT Musalsal,

Ek Muddat Hoi Tere Baam O dar se Nikle,

Rehti Hai phir B Tujh se Mulaqat Musalsal,

DiL Lagi, DiL ki Lagi Ban jati Hai,

jab Tasawwur Main Guzarti Hai Raat Musalsal,

jab saY dekha zulf e preshan ka Aalam,

UljhaY Howe Rehte Hain Mere Din Raat Musalsal,

Main Muhabbat Main Us Mqaam pe pohncha Hon jahan,

Meri zaat Main Rehti Hai teri zaat Musalsal...
Der lagi aane mein tumko shukr hai phir bhi aaye to
Aas ne dil ka saath na chhoda waise ham ghabaraaye to

Shafaq, dhanak, mahtaab, ghataayen, taare, nagmeiN, bijali, phuul
Uss daman mein kya kya kuch hai vo daman haath mein aaye to

Chahat ke badle mein hum toh bech de apni marzi tak
koi mile toh dil ka gahak, koi hamen apnaaye to

kyn ye mihr_angez tabassum madd-e-nazar jab kuch b nhi
haaye agar koi anjaan agar iss dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai BAAT nahin hai apne upar beeti hai
phool nikalte hain sholoN se chahat aag lagaaye to

jhooth hai sab tareekh hamesha apne ko dohraati hai
achchha meraa khwab-e-jawani thoda sa doharaaye to

nadaani aur majbuuri mein yaaro kuch toh farq karo
ek bebas insaan kare kya tuut ke dil aa jaaye to....
ussay apni zaat ki fikar thi wo jo mera wakif e haal tha
woh jo us ki subhe urooj thi woh mera waqt e zawal tha
mera dard woh kaisay janta meri BAAT woh kaisay manta
woh to khud fanna k safar main tha usay rokna bhi mohal tha
kahan jao gay mjhay chor kar main yeh poch poch k thak gaya
woh jawab mujh ko na de saka woh to khud sarapa sawal tha
woh mila to saddiyon baad bhi mera lab per koi gila na tha
ussay meri chup ne rula dia jisay guftugu main kamal tha
Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Tu Bade Payar Say Chao Say Bade Maan K Saath

Apni Nazuk Si Kalayi Mein Chadhati Mujh Ko
Aur Bay Taabi Say Furqat K Khizan Lamho Mein

Tu Kisi Soch Mei Doobi Jo Ghumaati Mujh Ko
Mein Tere Hath Ki Khushboo Say Mehak Jata

Jab Kabhi Mood Mein Aa Kar Mujhay Chooma Karti
Tere Honton Ki Hidat Say Dahak Sa Jaata

Raat Ko Jab Bhi Tu Neendon Kay Safar Pay Jaati
Mar Mareein Haath Ka Takiya Banaya Karti

Mein Tere Kaan Say Lag Kar Kayi BAATein Karta
Teri Zulfon Tere Gaal Ko Chooma Karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Mein Teri Rooh K Gulshan Mein Mehak Ta Rehta

Mein Tere Jism K Aangan Mein Khanakta Rehta
Kuch Nahi To Ye Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kaash Mein Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha

Woh laut kar na aaya magar intezaar tha


Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe

Main phans gayi bhanwar main woh darya ke paar tha


Manzil qareeb aayi to tum door hogaye

Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha


Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan

Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha


Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka

Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha


Yeh BAAT umer bhar samjh na paayi main

Kyun Dil mera us ka talabgaar tha
(Us ne kaha)
Tum me pehli si BAAT nahi?
(Maine kaha)
Zindagi me ab tera sath nahi,
(Us ne kaha)
Ab bhi kisi ki aankhon me doob jate ho?
(Maine kaha)
Ab kisi ki ankhon me wo BAAT nahi,
(Us ne kaha)
Kya mein bewafa ho?
(Maine kaha)
Mujhe ab wafa ki talash nai
(Usne kaha)
Kyun itna toot kr chaha muje?
(Maine kaha)
Mein insan ho koi pathar zaat nai.
(Usne kaha)
Bhol jao mujhe!
(Maine kaha)
Tum haqiqat ho koi khwab nai…