Aankho SMS Messages404 messages

tere khoobsoorat Aankhon mein aansoo achche nahin lagte
chaahe jitnaa bhi roye but kabhi sachche nahin lagte
Aankho mein aansoo aye na hote .
Agar wo peeche se muskuraye na hote.
Unke judai ke baad ye gam hota hai ki.
Kash wo jindgi mein aye na hote
AHL-E-DIL Youn bhi nibah lete hain,

Dard seene mein chupa lete hein,

Dil ki mehfil main ujaalon k liye,

Yaad ki shama jala letè hain,

Jaltè mausum main bhi ye DEEWANE,

Kuch haseen phool khila lete hain,

Apni Aankhon ko bana kar ye zubaan,

Kitne afsane suna lete hain,

Jin ko jeena hai Mohabbat k liye,

Apni hasti ko mita lete hain,

AHL-E-DIL youn bhi nibah lete hain,

Dard seene main chupa lete hain...
Usay kehna usay hum yad kartay hayn,Diyey jeb shaam ki dehleez pe jalaye jatay hayn,Sitaray aasman pe jeb timtimatay haynShabnam k aanso se phool jeb nahatay hayn,Hum us dem apni Aankhon mayn usay abad kartay hayn,Usay kehna usay hem teb yad kartay hay.
Aaj kuch kami hai tere bagair,

na rang na roshni hai tere bagair,

waqt apni raftar se chal raha hai!

bus dharkan thami hai tere bagair,

na barish hai na dhuaan!

phir bhi dil mai tapish si hai tere bagair,

buhut roka hai baadal ko barsne se!

phir bhi Aankhon mai nami si hai tere bagair....
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,

IZHAR e ishq to khwahish ban jaati hai,

HAI agar ishq to Aankho mein dekho,

ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai..
Kaash koi hum par bhi pyar jatata,
Hamari Aankhon ko apne haathon se chhupata.Hum jab poochte kaun ho tum?
Muskura kar woh apne aapko hamari jaan batata.
Musafir to bichadte hain , rafaqat kab badalti hai
Mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

Tumhi ko chahte hain hum ,tumhi se pyar karte hain
Yehi barson ki aadat hai aur aadat kab badalti hai

Tumhe jo yaad rakha hai yehi apni ibadat hai
Jo paththar par likhi jaaye ,ibarat kab badalti hai

Kali ka phool banna aur bhikhar jaana
Yehi qaanoon -e- fitrat hai to fitrat kab badalti hai

Jo dil pe naqsh kar jaaye aur Aankhon mein simat aaye
Alaamat hai yeh chaahat ki to chaahat kab badalti hai

Use chaaha use pooja yehi tauqeer hai apni
Hamein gumrah mat samjho ibaadat kab badalti hai

Purane zakhm ko ab Bhula dein yahi achcha hai
Na chaahe aap hi koi to qismat kab badalti hai
Aansu nahi thamte
Aansu nahi thamte hain Aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha

Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha

Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha...
ZUBAN KHAMOSH AankhoN MEIN NAMI HOGI,


YEHI BAS EK DASTAN-E-ZINDAGI HOGI,


BHARNE KO TO HAR ZAKHAM BHAR JAYEGA


KAISE BHAREY GI WOH JAGAH JAHAN TERI KAMI HOGI.
Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhain ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhain ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhain,
Woh Hum Se Baat Nahi Kartey , Tu Na Karey ,
Haal Sara Unkey Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhain,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhain,
Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein , Basa Deti Hain Aankhain,
Mana Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Key Rastey ,
Magar Kabhi Kabhar , Neend , Ura Deti Hain Aankhain,
Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain,
Dard -O-Gham , Sarey Dil Key , Chupa Deti Hain Aankhain
Kitni ratein beet gai,

Kitne din beet gaye,

Bus beeta nahi to

Yadon ka wo pal,

Wo guzra hua kal,

Beeti nahi to Aankhon ki nami

aur AAP KI kami.