Aankho SMS Messages404 messages

Jo Bun Paray Tou
Ye KhuD Say Kahna Kabhi Tou JanAa !
Kay Tum Ko Aati Hay YaaD Ab Bhi !
Woh Aik Sunder , UdaSs Larki
Woh Khoi Khoi Si Aankhoon Wali
Woh Uljhi Uljhi Si SoChOon Wali
Woh JhOoti Muskan Ko LabOon Par Sajany Wali
Woh ApNay Baray MaY Dheeray Dheeray Say
Tum ko Sub Kuch Batany Wali
Woh Baat Bebaat , RoOth Kr Maan Jany Wali
Kabhi Kabhi Tou HisaaB-o-Hudd Say Bhi
YaaD Barrh Kar Hay Aany Wali
Sataanay Wali. . . . Mananay Wali
Woh Aik SunDer UdaSs LaRki.....
Us k Siva koi mere jazbaat me nahi,

Aankhon me wo nami hai jo barsat me nahi,

Pane ki Usse koshish bohat ki magr

Shayad Wo ik lakeer mere Hath me nahi.¿?
Lakin Badi Dair Ho Chuki Thiieeee

Ek umer ke baad uss ko dekha

Aankhoon mein sawaal thay hazarooon

Hontoon pe magar wohi tabbassum

Chehrey pe likhi hui udaasi

Awaaz mein gunjti judaiiiii

Main kaise shajar se katee rah tha

Woh ponch raha tha aansoon merey

Lakin bohot dairy ho chukii theeeee...!!
Ek Din Woh bahot Pachtaiga Jab Laut Ke Wapis Aayega
Mai Haule Haule Boluni Sab Raaz Dilke Kholungi
Yeh Duniya Aisi Basti Hai Har Aankh Se Aansoo Behta Hai
Dukh Dard Ke Maare Log Yahan
Har Aankh Ke Bikhre Khwab Yahan Ret Bhari Hai Aankhon Mein
Mai Usse kahungi Socho Toh gaya Waqt Kahan Se Laoge
Yeh Baat Samajh Na Paoge Behtar Tha Jo Laut Ke Na Aate
Ab Dil Ko Manana Mushkil Hai
Raat ki gheri khamoshi main
chupkay se dheemay se
sergoshi main
koi mujh se bola
suno!
tum wohi ho na jo raat hotay he
meri Ankhon mai utar aati ho
meri Aankhon mai jugnoon ki tarha
roshan ho jati hai
ek roshan taray ki tarha
neendo main utar aati ho
tum wohi ho na?
Main boli
haan main wohi hon
Woh bola…bohut buri ho
meri neenden ura ker
khud chain se so jati ho…
mujhe ab b mohabat hai''

tere qadmon ki aahat se

teri har muskurahat se
teri baaton ki khushbu se.
teri Aankhon k jadu se.
teri dikash adaaon se.
teri qatil jafaaon se.

''mujhe ab b mohabat hai''

teri rahon me rukhne se.
teri pulkon k jhukne se.
sehar o sham hathon pe tera hi naam likhne se.
simat te paya
ek nai umang mein har baar meri Aankhon ne kshitij mein sama rahe

sooraj ko nihara.........par phir subhe ki laalima mein palkon ko

bheega hua paya
shaamon-sehar bas tanhai..........aur har lamha isi soch mein beeta
is duniya ko main samajh nahi payi ya is bhari duniya mein koi

..............mujhe samajh nai paya?
Apne haathon se yun chehre ko chupate kyon ho
Mujhse sharmaate ho to saamaney aate kyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-wafaa
Pyaar karte ho to phir pyaar chhupate kyon ho

Ashk Aankhon main meri dekh ke rote kyon ho
Dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhaate kyon ho

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kehte kyon ho
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho
Apni Aankhon Ke Samunder Main Utar Jaane De...
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De...
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko...
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De...
Chahton ki dori bhi,
Torna hi parti hay
Manzilon ki kashti bhi,
Morna hi parti hay
Bhoolna hi parta hay,
Khud say piyaray logon ko
Aur dil kay aangan mein,
Naqsh un ki tasweerain
Kuch haseen lafzon ki,
Kuch haseen tehreerain
Paaoon jin mein jukrain hon,
Kholna hi parti hain
Khoobrurat Aankhon mein basnay walay khawbon ko
Nochna hi parta hay
Dil say milta her rishta torna hi parta hay......
kiun keh......

Izzaton say barh ker tou aur kuch nahee hota!!!
Tere zajbaton me firse wo racani aai
aaj phir yaad mohbbat ki kahani aai
aaj phir neend ko Aankho se bichadte dekha
aaj phir yaad koi choote purani aai
muddaton baad chala unpe hamara jaado
muddaton baad hame baat banani aai
muddaton baad kareeb phir dariya
muddaton baad hume pyaas bujhaani aai
intni aasani se milti nahi phan ki dualat
dhal gai umr to gazalo me jawaani aai
mohabbat na samajh hoti hai samjhana zaroori hai
jo dil main hai use Aankhon se kehlaana zaroori hai
usoolon per jo aanch aaye tou takraana zaroori hai
jo zainda hai tou phir zinda nazar aana zaroori hai
bohot bebaak Aankhon main talluq tik nahin sakta
mohabbat main kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos kerne ka
jo kehta hai khuda hai tou nazar aana zaroori hai