Aadat SMS Messages123 messages

Unko Bhi Humse Wesi Hee Mohabat Ho Zarori To Nahi
Aik Si Dono Ki Halat Ho Zarori Tou Nahi
Dil Ki Chahat Tou Kaie Khuawab Jaga Deti Hai
Han Magar Saath Mein Kismat Bhi Ho Zarori Tou Nahi
Meri Tanhayian Kerti Hain Jinhe Yaad Sada
Unko Bhi Meri Zarort Ho Zarori Tou Nahi
Muskurane Se Bhi Hota Hai Beyan Gham-E-Dil
Mujhko Rone Ki Bhi Aadat Ho Zarori Tou Nahi
Neend Tou Dard Ke Bistar pe Bhi Aa Jati hai
Unki Aagosh mein Ser Ho Zarori Tou Nahi
Mujhe Uss Se Ab Bhi Mohabbat Hai
Magar Na-jaane Kyun
Ab Uss Mohabbat Mein Woh Pehli Si Shiddat Nahi Rahi ...

Mujhe Ab Bhi Uss Ka Intizaar Rehta Hai
Mager Na-jaane Kyun
Ab Uss Ke Intizaar Mein Sitaron Ke Saath
Haal-e-DiL Kehne Ki Aadat Nahi Rahi ...

Mujhe Ab Bhi Uss Ki Yaad Aati Hai
Mager Na-jaane Kyun
Uss Ki Yaad Mein Roney Ki Khwaahish Nahi Rahi ...

Main Uss Se Ab Bhi Milna Chahta Hoon
Mager Na-jaane Kyun
Ab Uss Se Milne Ki Tarap BaaQi Nahi Rahi ...

Sochta Hoon ! Kitna Badal Gaya Hoon Main
Bilkul Uss Jaisa Ho Gaya Hoon Main . . . [¤_¤]
Ab teri Yaad se Wehshat nhi hoti mujh ko,

Zakhm khulte hain AziYat nhi hoti mujh ko,

Ab kisi shakhs ki Aadat nhi hoti mujh ko,

Ab koi AaYe, chla jaYe main khush rehta hon,

AesY Badla hon TerY Shehr ka Paani pi kr,

jhoot Bolon to nadaamat nhi hoti mujh ko.
Teri Wafa Ko Humne Bhulaya Kab Tha
Din Judai Ka Dilse Mitaya Kab Tha
Wo Dil Laga Ker Bhool Jana Teri Aadat Thi
Humne Tere siwa Kisi aur ko chaha kab tha
In Bhete Aansuon Se Aqidat Hai Mujhe B
Teri Tarah Hi Khud Se Shikayat Hai Mujhe B
Tu Agar Nazuk Hai Agar To Mein B Nahi Pathar
Tanhai Mein B Rone KI Aadat Hai Mujhe B
Sabko Khushi Dene Ki Aadat Hai Hame
Apni Alag Pehchan Bananay Ki Aadat Hai Hame
Kitna B Gehra Zakham De Koi
Utna Hee Zada Muskurane Ki Aadat hai Hame
Maangu Bas Unhe
Yeh IbAadat De De
Ai Khuda Tere Khazane Se
Thodi Si Mohabbat De De
Kaaash ! Woh Saath Nibhaye
Hamara Umr Bhar Ka
Ya Phir Unke Dar Par
Marne Ki Ijaazat De De.
Dhoondte Kiya Ho In Annkhon Mein Kahani Meri,
Khud Mein Gum Rehna To Aadat Hai Purani Meri,
Bheer Mein Mil Jaoon Ga Asani Se Khoya Khoya Rehna Hai Nishani Meri.......
Yu Lagta Hai Ki Sirf Chalte Rahne Ki

Dhun Mein Is Safar Ke Maayne Kahin Kho Gaye Hain.

Bas, Chale Ja Rahe Hain

-Kabhie Aadatan,

Kabhie Majbooran
Ye dil bholaata nahi hay muhabatin uski
Pari hoi thee mujhay kitni Aadatain uski
Ye mera sara safar uski khoshboo main kataa
Mujhay to rah dekhati thee chahatain uski
Itna aasaan nahin mujhko bhulaana tujhko
ek shiddat hai kasak hai ya koi wahshat hai
kuch mareeze dile jaanan ko bhi chan aa jaata
jhooth hi bol magar bol ki ye ulfat hai
Log kahte hain khudaya kya muhobbat hai
mujhko maloom hai teri to yahi Aadat hai
Titliyon Ko Pakarna Uski Aadat Thi Purani
Her Aik Se Lerna Uski Aadat Thi Purani
ham Uske Saath Chal Diye Yeh Jante Huy Bhi
Raste Meion Chor Dena Uski Aadat Thi Purani