Ajeeb rishtay

Ajeeb rishtay
*. . .Ajeeb rishtay hein ye chahtoon k beech,

wAs!

Koi kisi ka sab kuch hai aur
koi Kisi ka
'KUCH B Nh. . .*
  

Oct, 05 2011     110 chars (1 sms)     3082 views       Sad

more Sad SMS Messages

UMEED!!
KISE KI YAD DIL MAIN HAI KOI AHSAS BAQI HAI
BADLTAY MOSMOON K DARMIYAN AIK RAZZ BAQI HAI

ABI TO MAIN SAFAR MAIN HOON MILAIN GI MANZLAIN MUJKO
MAGAR IN RASTOON K DARMIYAN IK SATH BAQI HAI

KAHAIN PAR SHAM DHALTI HAI KAHAIN PAY RAT HOOTI HAI
ABI TO CHAND HAI CHAND KI RAT BAQI HAI

CHALY AAO KISE DIN TUM HAMRA HALL B DAIKHO
HAMRA JISAM MURDA HAI MAGAR AIK SANS BAQI HAI

UMEED HAI PHIR B WO MILAY GI HAMAIN AIK DIN
KHUDA PAR HAI BHOROOSA ABI KHUDA KI ZATT BAQI HAI
Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi
Khaas they kabhi nazroon mein kisi k hum bhi shayad,
Magar nazron k taqazay badalney mein dair kahan lagti hai
"tabassum bhi, haya bhi or berukhi bhi
tera har andaz dil ko bahut bhata he"
her saal jaunary,
humain kuch sapnay dikhati hai,
jis ko poora kernay main,
december aa pohanchta hai,
zindagi aur akheer bi mano,
umer kay january aur december hain,
zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai,
admi umer ber un ko poora kerta rehta hai,
aur umer ka december aan pohanchta hai,
aur saal ki terha,
saans bi khutum ho jati hai...
kon kis k sath kitna mukhliss hay
waqat har rishty ki bata deta auqaata hay
Roz kehta hon k bhool jaon use
Par Roz ye baat bhool jata hon
Badalti rut ka ishara dekhte hain

Ab kaise ho ga guzara dekhte hain

Muhabbat ki yeh rasam bhi kitni ajeeb hai

Jaane wale palat kar dobara dekhte hain

Doobne waale doobne se zara pehle

Aik ummeed par kinara dekhte hain

Teri Khudaai se gilah hone lagta hai

Jab duniya men koi be-sahara dekhte hain

Kya muhabbat hamain bhi raas aaye gi
"Sajid"

Aao apna apna sitara dekhte hain.
Usey Kehna K Mere Marny Par Aansoo na bahay.....!
<#=#=#=<>#=#=#=>

K Mujhe Apni Mout Sy Ziada Usky Aanso ka dukh ho ga.
*. . .Kis Tarah Samjhaun Yeh Baat Ahl-E-Duniya Ko. .? ?

mOhS!n

Teri Talaash Ko Yeh Duniya Awaargi Samajh Bethi. . .*
tu nay mujh say poocha hay, kay mein kesay rehta hon
yeh jo jalta dard sa hay, kesay usko sehta hon
sham dhalay dehleez pay bethay, kya tujhko ab bhi sochta hon
jab yad bikharnay lagti hay
aur sans attuknay lagti hay
jab sooraj gumm ho jata hay
aur chand bhi jalnay lagta hay
tu khud say poochnay lagta hon
yeh mein kesay rehta hon, dard ko kesay sehta hon.
mein kuch easay rehta hon
Mere Qatil Ko Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi
Phir Say Maqtal Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Shab-e-Hijar To Sathi Hai Meri Barsoon Say
Jayo So Jayo Sitaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Yeh Praishan Say Gaisu Daikhay Nahi Jatay
Apni Zulfun Ko Sanwaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Lakh Moujoun Main Ghira Hun, Abi Dooba Tow Nahi
Mujh Ko Sahil Say Pukaro Kay Main Zinda Hoon Abhi

Qabr Say Aaj Bhi ‘Mohsin’ Ki Aati Hai Sada
Tum Kahan Ho Meray Yaroo Kay Main Zinda Hoon Abhi