Ilfaz kuch nhi kahte andaz-e-bayan bulta ha
Har shab mere ander daba insan bulta ha
Baton mein uski zara b pyas nahi hoti
Bus une ik pyasa insan bulta ha
hum ko gali mein dekh kar khud ko chupa lia jany yeh dushmano nay usay kya sikha diya ghar us nay kya banaya masjid k samnay chahat nay uski humko namazi bana diya
ruka howa maree ankh mai wo aik lamhaa .
bichray waqat kisi ko mera sada daina .
jo kar rahay hai mohabat to yaa dhayam rahay .
bohat kathan hai kisi ki yaad ko bhulla daina :)
Bewafai Se Pereshan B Ho Jate Hain
Naram Jhonkay Kabhi Tofan B Ho jate Hain
Humne Mehboob Jo Badla To Taujab Kesa
Log Kafir Se Musalman Bhi To Ho Jate Hain
ye Dil bohat udas hai
koi pegham hi likh do
tum apna naam na likho
gumnaam hi likh do
meri qismat main
gham-e-tanhaai hai lekin
tamam umer na likho
mager ik sham hi likh do
zarori tu nahi
k mil jai sakoon her kisi ko
sare-e-bazm na aao
sar-e-raah hi millo
ye janta hon k umer bhar
tanha mujh ko rahna hai
mager pal do pal ghari do ghari
meray naam hi likh do
chalo hum mantay hain k
saza k mustahik hain hum
koi naam na likho
koi ilzaam hi likh do