Lakh Doori Ho Mgr Ehad Nibhate Rhna.
Jb B Barish Ho Mera Soog Mnate Rhna.
Tm Gay Ho To Sari Shaam Ye Adat Thehri.
Bs Kinare Pe Khare Hath Hilate Rhna.
Jane Is Dil Ko Ye Adab Keha Se Aye.
Us Ki Rahoo Me Nigahoo Ko Bichate Rhna.
1 Modat Se Ye Maamool Howa Hai Ab To.
Aap Hi Roothna Aap Hi Mnate rhna.
Tm Ko Maaloom He Farhat, Ye Pagal Pan He.
Door Jate Howe Logoo Ko Bulate Rhna.
Humara har lamha chura liya aap ne,
Aankho ko ik chand dikha diya aap ne,
Hume zindagi to di kissi aur ne,
Par itna pyaar kar ke jeena sikha diya aap ne
Insaan ki zindagi mein justajoo ka koi wajood na hota.....
Agar Insaan key mukadar mian sirf khushian hoti..
To umeed kun karta, hasratien kis ki udhori rehti..
Agar kooshish ka makam na hota...
sub mukmal ho jatey to phir udhora kun rehta...
Aisa hota.....
To sub ka mukadar phool hotey...phir khantoo ko kun pochta....
Phir kis ki kahstian bhanwar mein bhatkatien.....
Sub ko sathi mil jatey to phir tanhian kis ka mukadar banti.....
Us ne Kaha," Kaun ho Tum?
Main ne Kah, "Hasrat Teri"
Us ne Kaha," Dekhtay ho kya?
Main ne Kah, " Surat Teri"
Us ne Kaha," Chahtay ho kya"
Main ne Kah, " teri"
Us ne Kaha," Puchtao ge bohat"
Main ne Kah, " Qismet meri.... "
Khud rooth’tay ho zra c baat per magar
Koyi roothay to usay manaaya bhi karo
Aur ki ghalati per hai teri nigah-e-tanqeed
Apnay kisi aitraaf per nigah jhukaaya bhi karo!!!
tu meri bani to theak werna dunia se chura loonga
apna chahay man jale saari dunia ko jala doon ga
aag, paani, sahra ya samundder say
main tujhay dhound nikaloon ga zameen ke ander se
main cheer ke rakh doon ga her us nasheman ko
jo tujhay apni aaghosh main lenay ki tammana rakhta ho