Chalo Ik Basar Phir Sy Ajnabi Bann Jaen Hm Donoo
Nah Mein Tm Say Koi Umeed Rakhoon Dilnawazi Ki
Na Tm Meri Taraf Dekho Galaat ANdaaz Nazroon Sy
Na Meray Dil Ki Dharkan Larkharaey Meri Baton Sy
Na Zaher Ho Tmhari Kashmakash Ka Raaz Nazron Sy
Tmhain Bhe Koi Uljhan Rookti Hai Paish Qadmi Sy
Mujhay Bhe Loog Kehtay Hain K Ye Jalwaay Paraaey Hein
Meray Hamraah Bhe Ruswaiyan Hain Meray Maazzi Ki
Tmharay Saath Bhe Gozri Hoe Raton K Saaaey Hain
Ta”Aruf Roug Ho Jaey Tu Usko Bhoolna Behtar
Ta”Aluq Roug Ban Jaey Tu Usko Toorna Acha
Wo Afsana Jisay Anjaam Taak Lanaa Nah Hoo Mumkin
Uasay Ik Khoobsorat Mour Day K Bhooolnaa A6ha
Chalo Ik Baar Phir Se Ajnabi Bun Jaen Hm Dono.