Jara toh aankh khule..Hum hosh me toh aaye.
Hum apne aap me toh aaye.
Hazaar sajde kiye raat-raat bhar hum,
Jo dil saaf na ho..
Kya jamee pe noor aaye..!!
khud ko mujh se juda kia us ne, jo na krna tha wo kia us ne, yad krne se b na yad aon, esa muj ko bhula dia us ne, tum to bas waqt ki zarurat ho, muj ko akhir bata dia us ne, apne hathon se khud he likh mujhe, jane kyun phir mitadya us ne.
hamne apni sanso par unka naam likh liya,
nahi jante the ki hamne kuchh galat kiya,
wo pyaar ka vada hamse karke mukar gaye,
khair unki bewafai se kuchh to sabak liya......