Sapno se dil lagan

Sapno se dil lagan
Sapno se dil lagane ki aadat nahi rahi,
har waqt muskurane ki aadat nahi rahi,
ye soch ke ki koi manaane nahi aayega,
ab hume rooth jaane ki aadat nahi rahi
  

Jun, 07 2010     160 chars (1 sms)     2958 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

wo kisi or ka hoga to qayamat hogi,
phir kisi ko bhi kisi se na muhabbat hogi,
tuje dekhnay k bad koi accha nahi lagta mujko,
tujse barh kar b koi or muhabbat hogi,
raat kal chaand ko dekha to ye ehsaas hua,
wo akela hai usay meri zarurat hogi,
ay KHUDA Usko kisi or ka hone na dena,
zindagi bhar mujhay phir tujh say shikayat hogi,
Aasaib
Zada Ghar Ka
Main Woh Dar
Hoon Mohsin,

Deemak
Ki Tarha Kha
Gayi Jisay Dastak
Ki Tamanna.
wo meri lash pr b aa kr ro na saka..!

us shakhas ko meray sakon ka ktna khayal tha...
Ab Khwabo Main Rishte Banata Hun,

Tere Daman Ko Or Kareeb Pata Hun,

Raahein Ulfat Muskil Hai Magar,

Teri Yadon Se Apni Saanse Chalata Hun!
har dil mai dard daba hota hai,

bayan karne ka andaaz juda hota hai,

kuch log ankhon se dard baha lete hain,

Or kisi ki hansi mai hr ghum chupa hota hai...
Aye Dil kisi ki yaad mein rona Fazool ha,
Aansu Bare Anmol hein inhen khona Fazool ha,
Roo tu un k lia jo tujh par nisar han,
Un ke lia keya rona jin ke Ashiq Hazar hein....
Unke chehre ko aankhon se hata sakte nahi,

dil ki betabi ki surat dikha sakte nahi,

kitni dilchasp hain mohabbat ki majburiyan,

samne manzil hai aur kadam bada sakte nahi........;->
Pyaar aapka meri aankkhon mein chalakta hai
Sun kar aapke dil ki baatein,dil mera dhadakta hai..
Aapko yaad hum kaise karein mere mehboob
Ke kaunsa pal hai jab ye dil aapko bhoolta hai..
Teri qurbat mili tera sahara na mila,
karib pahuch kar sahil ka kinara na mila,
dekhte rahe hum apni hatheli,
magar mujhe apni kismat ka sitara na mila.
Rishte or Raste Mohabbat ke Do pehlu hain,

Kbi Kbi Rishte Nibhate Nibhate Raste kho Jate hain,

or

Kbi Kbi Raston me Chalte Chalte Rishte bn jate hain
Mujhe seene Se Lagne Wala Koi Nahi !! Agar Rooth Jaon Tu Manane Wala Koi Nahi !! Ye apne Zidi Kab se Ho Gey !! Agar Mar Gaya Tu Kafan Pahnane Wala Koi Nahi !!
Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega

Akhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega