American: hamaray haan dogs bomb dhoondh letay hain Japanese: hamaray haan to fish ball se khelti hai Pakistani: hamaray haan to bandar bhi sms parh leta hai
Tmhara naam likhta hn
Main kaghaz pe
Dekhta hn
Sochta hn
Wo kaghaz phaad deta hn
Phr un kaghaz k tukro''n ko
Mutthi me bheenchta hn
Phenk deta hn
Wahi''n pr beth k larta hn khud se
Wohi kaghaz uthata hn
Main aankho''n se lgata hn
Main tum ko sochta hn
Phir uss paani ko
Taweez-e-Mohabbat jaan ker peeta hn
Aankhei''n moond leta hn !!!!
jab kabhi
koi yaad
achaanak ankhein chabho jae
to meri hatheliyon ke lams ki baaz gasht
honton se lagaana
use saanson se garm karna
or palkon ko band kar ke
ankhon se choom lena
Kisi K Hijar Ka Phir Imtihan Toot Para
Hamare Dil Mein koi Makaan toot para
Bas Ik Lamhe ko Kamzor Per Gaye thy ham
Uss Ik Lamhe Mein Sara jahan Toot Para
Socha k bhool jayon ussy
Bhula na paya to kia qasoor
Kaha pyar ki sunayo dastan mujhy
Suna na paya to kia qasoor
Dosti to nibhany ka nam hai
Nibha na paya to kia qasoor
Dil me thi uski tasweer
Dikha na paya to kia qasoor
Dil ko jala deeny waly wo khat
Jala na paya to kia qasoor…?
kub kaha tha nazaron se khuof ata hai.
hume tu chand sitaron se khuof ata hai.
mile hain doston se ghum itne ..
mare badan ko saharon se khuof ata hai.
Hajoom Mein Tha Wo Na Ro Saka Hoga
Magar Yakeen Hai Shab Bher Na So Saka Hoga
Wo Shaks Jise Samjhne Mein Mujhe Umar Lagi
Bicher Ke Mujhse Kisi Ka Na Ho Saka Hoga