Har nazar ko ek nigah

Har nazar ko ek nigah
Har nazar ko ek nigah ka haq hain,
har raah ko ek aah ka haq hain.
hum bhi dil le kar aye hain duniya main,
hume bhi ek gunah ka haq hain..
  

Jun, 05 2010     144 chars (1 sms)     3086 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

bas ik shaam bare khamooshi se toot gia
hamain jo maan tere dosti per rehta tha
kon hota hy tery ghum main pareshan mohsin

wo to apni he kisi baat py roya ho ga.
jheel si ankhoon kia ada behkati hai mujhe.
raat sari yad ki dehleez pe jagati hai mujhw.
Assa Nahi k skahs acha nahi hey woh
Jesa mery kheyal mein tha wasea nahi hey woh
Takhleeq asman pey mery leya howa
Mana k iss zameen per mera nahi hey woh
Tum Kahty Ho

Main Tumahra Jeewaan Hoon

Tumhari Baat Bajja Hai

Lakin Sajna

Itna Bata Doo

Tumhare Jeewan Main

Main Kahan Hoon??
Ankhen thi kahan itni sharabi pehle

Chehre the kahan itne kitaabi pehle

Aaina zara dekhiye boson ke baad

Kya hoth the itne hi gulabi pehle.
Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe

Ik Chand Mujhay Nazar Aaya
Bas Ankhon Say Molaqat Hoe

Es Chand Ki Naram Nigahon Say
Es Dil Ki Har Ik Baat Hoe

Es Chand Ki Ghani Zulfon Main
Kab Sham Hoe Kab Raat Hoe

Bas Yeahe Ik Baat Hoe
Ik Naey Pyar Ki Shurwat Hoe

Kal Raat Ik Mahfil Hoe
Mahfil Main Ik Baat Hoe
Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib,
Duniya mein sab hamraz badal jatay hain,

Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata,
Haan magar jeenay k andaz badal jatay hain!
abhi se soch le kay muhabaat fanna kar deti hai,

agar anjaam se darte hai to agaz mat kar..
Har ghari imtihaan mein guzri

Zindagi tere dhyaan mein guzri

Agli sadiyon mein ghar bana lena

Ye sadi to uraan mein guzri....
Tamam umar zindagi se door rahe,

Teri khushi ke liye apni khushi se door rahe.

Ab is se barh kar wafa ki saza kya hogi,

Keh tere ho kar bhi tujhse door rahe.
Wo Aana -parast Sahi Uski Baton mein Ikrar B Tha
Uske Chubtay Huy Lehje Mein Chupa Hua Piyar B Tha
Wo Mujhe Likhta Hai K Intizar Na Kero Mera
Lakin Uski Tehreeron Mein Sadiyon se Intizar B Tha
WO Kehta Tha MAt Roko K Manana Nahi Aata
Meri Narazgi Pe lakin Wo Beqarar B tha