Koi naaz tha jo raha

Koi naaz tha jo raha
Koi naaz tha jo raha nahi,

Koi khayaal tha jo kaha nahi,

Koi aarzoo thi dabi dabi,

Koi bojh tha jo hatta nahi,

Kisi morr pe to woh milay mujhay,

Koi morh aysa bana nahi...!
  

Jun, 03 2010     187 chars (2 sms)     3342 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hum nay socha k Duniya Say kinara Ker lain.
Hum nay dekha k Hum hi ronaq-e-mehfil nikly.
Socha tha is baar un ko bhool jaen ge

Dekh kar b un ko andekha kar jaen ge

Phir jab jab samne aaye chehra un ka

Socha!!

Is baar dekh lain Agli baar bhool jaen ge.
Khaamoshii kah rahii hai kaan mein kyaa
aa rahaa hai mere gumaan mein kyaa

ye mujhe chain kyuuN nahiin partaa
ik hii shaKhs thaa jahaan mein kyaa
gul''on ko bhi nahi aaya abhi tak is tarah khilna,

sawery jis tarah wo neend sy be''daar hota hai...
Us k bina b Zindagi kat he Jaye Gi...

Hasrat-e-zindagi tha wo Shart-e-zindagi to nahi
sazaa dene waale razaa puchte hai
jine ki humse vajah puchte hai
dete hai khud hi zehar humko aksar
phir kitna hua hai asar puchte hai
Khushbu teri Dosti ki muje mehka jati hai.
Teri har baat mujhe behka jaati hai,
Saas to bohut dair leti hai aane me…
har saas se pehle Teri yaad aa jati hai
Lehron se milkar na woh beh sake na hum,
ek duje ke Dil me na woh reh sake na hum,
jeet lete Aasma ek din lekin, palkon ke khamoshi ko
hoto se na woh keh sake na hum
Hum jee rahe the unka naam lekar,
wo guzarte the hamara salaam lekar,
ek din wo keh gaye bhula de humko,
humne pucha kaise?
wo chale gaye hath mein jaam dekar
Kal Raat Fir Maine Jaag Ke Guzaar Dee


Kaisa Ajeeb Dard Hai Jo Ruk Ruk Ke Ho Raha Hai..!!
ek baar osay sochain to ho jao shifa yaad,

ye payar bhi keya cheez hy marne nhi deta.
Chaman Me Naghma Sarai K Baad Yaad Aaye

Qafas K Dost Rihaai K Baad Yaad Aaye

Wo Jin Ko Ham Teri Qurbat Me Bhool Bethe Thay

Wo Log Teri Judai K Baad Yaad Aaye

Wo Shair Yousuf-e-Kan''a''n Thay Jo Bech Diye

Hamain Qalam Ki Kamaai K Baad Yaad Aaye

Hareem-e-Naz K Kherat Bant''nay Walay

Har Ek Dar Ki Gadaai K Baad Yaad Aaye

Ham Itnay ß Gaye Guzray Nahi Thay Jaan-e-Faraz

K Tujhko Saari Khudai K Baad Yaad Aaye . . . /
mar kar bhi us ko dekhtay rehnay ki chah mein


ankhain kisi ko apni amanat mein day gaya
Dil tordna humari aadat nahi

Dil hum kisi ka dukhatay nahi

Barosa rakhna merri wafaoon pe

Dil main basa ker hum kisi ko buhlatay nahi