Titliyon Ko Pakarna Uski Aadat Thi Purani
Her Aik Se Lerna Uski Aadat Thi Purani
ham Uske Saath Chal Diye Yeh Jante Huy Bhi
Raste Meion Chor Dena Uski aadat Thi Purani
phuulo.n kii aarazuu me.n ba.De zaKhm khaaye hai.n
lekin chaman ke Khaar bhii ab tak paraaye hai.n
us par haraam hai Gam-e-dauraa.N kii talKhiyaa.N
jisake nasiib me.n terii zulfo.n ke saaye hai.n
mahashar me.n le gaii thii tabiyat kii saadagii
lekin ba.De Khuluus se ham lauT aaye hai.n
aayaa huu.N yaad baad-e-fanaa unako bhii ''Adam''
kyaa jald mere siikh pe imaan laaye hai.n
Do lafzon mein bayan hoti nahi kahani meri
Thak gaya asman thak gae zameen
Par yadein na rukein ye thi meri zindagani
Ab badal gaye mausam
Ab badal gae rutein
Phir bhi dhoonti hain muhjhay wo shamein
Siha kali
Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna,
Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna
Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna,
Magar gham batna ho toh hume yaad karna.
Kabhi tum milnay aao na
Tumhein mehsoos karna hai
Tumhein bahon mein bharna hai
Tumhari zaat mein kho kar
Tumhara hissa banana hai
Mujhe weeran ankhon mein
Tumhari bikhari baton mein
Wafa ka rung bharna hai
Tumharay phool chehray par
Udasi ka jo manzar hai
Yahan pay apni chahat say
Hansi ko naqsh karna hai
Tumheray sath mil k
Zindagi ki jung larna hai
Kabhi tum milnay aao na
Tumhein mehsoos karna hai
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!