Mujhse Kehti Hai T

Mujhse Kehti Hai T
Mujhse Kehti Hai Tere Saath Rahon ge Sada
Bohat Pyar Kerti Hai Mujhse Udasi Meri
  

Jun, 02 2010     82 chars (1 sms)     2837 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aa Kabhi Andherey Main
Dekh Suurat-e-Dunya

Rung Tou Tamasha Hy
Sirf Dhuup Chaao''n Ka
Kab talk pyas k sehara main Jhulaste jayen,
Ab ye baadal jo uthe hain tou Barasate jayen

Kaun batalaye tumhen kaise vo mausam hain k jo,
Mujhse hi duur rahen mujh men hi Basate jayen

Ha`aye kya log ye Aabaad huye hain mujh main,
Pyaar k lafz likhen,Lahaje se Dhasate jayen

Aaiina dekhun tou ik chehare k Be-rang Nuquush,
Ek Nadida sii Zanjiir main kasate jayen

Juzz muhabbat kise Aaya hai muyassar ummiid,
Aisa lamhaa k Jidhr Sadiyon k raste jayen
hazar dur sahe muj se,mai nahe bhula...

wo aik pyar ka lahja wo ik dua tyri.
Abhi Socha Hi Tha Dhoondo''n
Uffaq k Paar Ka Raasta

Tou Dil Bola Mera Socho Kabhi
Ka La-Pataa Hoon Main !!!
Aaj bhe waisa hi mousam hai

aaj bhe waisy he badal hain

aaj bhe waisi hi barish hai

jub hum pehli baar milay thy

yaad hai,humne ye socha tha

humko milty dekh kr mousam

itna khush hai,itna khush k

es ki aankhain bheeg gae hain

magr aaj ye jaan gaey hain

k

mousam us din keun roya tha....
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Dard kya huta hay tanhaii kisay kahtay hain
Chaar su goonjti ruswaii kisay kahtay hain
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Koi lamha hu teri yaad main kho jatay hain
Abb tu khud ko bhi mayassar nahin aa patay hain
Raat hu din hu teray piyar main hum bahtay hain
Dard kya huta hay tanhaii kisay kahtay hain
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Yun tu duniya ki her ik cheez haseen huti hay
Pyar se barh kay magar kuch bhi nahin huti hay
Raasta roak kay her ik se yehi kahtay hain
Abb jo bichray hain to ahsaas hua hay hum ko
Dard kya huta hay tanhaii kisay kahtay hain
uss badnasib-musaafir ki qismat ko kya kahen

mohsin

dam torr diya jis ne manzil k saamne...
Bol Na Bol Ay Jane Wale Sun To Le Diwano Ki
AB Nahi Dekhi Jati Hamse Ye Halat Armano Ki
Husn K Khilte Phool hamesha Bedardon K Hath Lage
Aur Chahat K matwalon Ko Dhool Mili Weerano Ki
Dil K Nazdeek Nazuk Jazbon Per Raaj Hai Sone Chandi Ka
Ye Duniya Kia Qemat Degi Sada Dil Insano Ki
Itney qareeb say guzar kar gaya hai
Andaaz be rukhi kay num kar gaya hai
Mayat pe mari kharay ho kar anjaan bangaya hai
Kehta hai logon say yeh kon mar gaya hai
Aana mari kabar par aur parna phir Fatiha
Aur phir muskara kar keh dena acha howa mar gaya hai.
wo tujhko bhooly hen to tujh pe b laazm hy ae meer,

khaak daal,aag lga,naam na ly,yaad na kar...
Ek nakaam hasrat
Ek tishna arzo
Ek beqarar Mohabbat
Ek Pyaasi Rooh
Ek Haseen Jazba
Ek adhoori Talaash
Ek Tarasti Tamana
Ek Natamaam Khwaab
Tum koi Nam Do
Ek Pechchann do
Din bhar soch mein doobon raaton ko chain nahin
Kaise keh doon dil mein ab koi nahin
Door tu hai par mohabbat tere liye kam nahin
Duniya kya samjhe bewafaa tu hai hum nahin