Kuch khawab hain

Kuch khawab hain
Kuch khawab hain jin ko likhna hai
Tabeer ki surat deni hai
Kuch loog hain ujaare dil waale
Jinhain apni mohabbat deni hai
Kuch phool hain jinko chunana hai
Aur haar ki surat deni hai
Kuch apni neend baqi hai
Jisse bantana hai kuch loogon mai
Unko bhi to rahaat deni hai
Aae umer-e-rawan!
Ahista chal
Abhi khasa karz chukana hai.
  

Jun, 03 2010     341 chars (3 sms)     2622 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Me Apne Aap Se Barh

Ker Kissi Ko

Kio Chahoo

Mujhhi Pe Khatam Hai

Kissa Meri

Muhabbat Ka!
RaaT Mein Yun SaJJ-DhaJ KaR ChhaT Par Na Jana TuM!


ShehaR Mein EID Ki Tareekh BaDaL JayeGi.~!
wo loot kar aya tu maang raha tha mujh se apne kaye ki mafi..

uski aankhon ki nami or mosmeat ne maaf karne par majboor kar daya mujhe..
Yeh Zarori Nahi K Aag Se Jal Jaye Bashar,


Baaz Logoun Ko Muqadar Bh Jala Dete Hain..
Tum Dhukoon K Sooz Ka

Mosamoon K Rog Ka

Dard Mat Saha Karo..

Udhas Mat Hua Karo..

Yeh Dard Hain Hayat K

Kuch Rang Kainat K

Kuch Dukh Ki Taiz Barishein

Kuch Phool Hain Nishat K

Tum Phool Bus Chunna Karo

Khaar Mat Chua Karo

Udhas Mat Hua Karo..

Udhas Mat Raha Karo..
Ukharta ja raha hai sans ab beemar-e-ulfat
''''Sagar''''
chalay aao k kuch dair hum be zuban hon ge
HUM NA MANGA BI TU APNI BASAAT SA BARH KAR...
JO HAMARA NA THA..
USAY KAISAY HASIL KARTAY...
BAT WAFAON KI AGAR HOTI ...
YON NA HARTAY ALI..
KHAIL NASEEBON KA THA..
USAY KAISAY KAYAL KARTAY
Tumhay Daikha Nahi ,, Jana Nahi,,
Phir Bhi Lagta Hy,,
Qabeela Aik Hy Apna……


Wohi Dard-E-Judai Hy,,
Wohi Bheegi Hoi Palkain,,
Naseeba Aik Hy Apna…….


Kisi Sy Kuch Nahi Kahna,,
Koi Shikwaa Nahi Krna,,
Qareena Aik Hy Apna……


Kisi Ki Yaad Sy,,
Wirana-e-Dil Jagmaga Lena,,
Khazeena Aik Hy Apna……


Yaqeen Ki Aakhri Hud Tak
Milan Ki Khushgumani Hy
Nateeja Aik Hy Apna.....;->
mairee jaan theek kaihtee hoo
hamari is mohabbat ka bhala kya faida hoga
hamaray darmyaan ju doriyan hain
kum nahe hongi
kubhe barish kai mosam main
humaisha sath raihnay kee
ju khowahish dil main jagi thi
ju spnay humnay daikhay thy
wo sapnay tot jaeingay
mairee jaaan theek kaihte ho
moqader kai likhay ko he ager tasleem kerna hay
tu phir issi mohabbat ka
koi bhe faida kaisa?
mugar is ko ager chaho
tu mairee baybassi kaih lo
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
"" mujhay tumsay muhabbat hay ""
Wo jisay samajhtay thay zindagi
Meri dharkano ka faraib tha
Mujhay muskrana sikha k wo
Meri rooh tak ko rula gaya
Wo k jis ko panay ki chah mein
Mein kabhi khilta gulaab thi
Meri pati pati bikhar gae
Mujhay aisi thokar laga gaya
Ajab shakhs tha wo ay zindagi
Jisay samjh k bhi na samajh sakay
Mujhay chahta bhi gazab ka tha
dil ko behlany ki batain meray qasid na karo.

saaf keh do vohi inkar hua chahta hai.
apney haseen charey ko siyah zulfon main chupa lo..

hum gustakh log hain choom liya krtey hain