Ishq ki log ye aksar h

Ishq ki log ye aksar h
Ishq ki log ye aksar hi saza dete hain,
Chahane walon ko apne wo bhula dete hain,
Husn paband wafa ka nahi hota hai Amad,
Apne hi jeson ko wo dil main jaga dete hain.
  

Jun, 02 2010     169 chars (2 sms)     2431 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

jate kahan k raat ki Banhain theen mushtael....



chupte kahan k sara jahan apne Ghar mAin thA.
Hum Na Badlein gay waqt ki raftaar kay sath Faraz


Hum jab b milen gay andaz purana hoga..
Kabhi yaad aao to is tarhan,
Kabhi gungunao to is tarhan,
Mera dard phir se ghazal bane,
Kabhi dil Dukhao to is tarhan,
Meri Dharkanen bhi laraz uthen,
Kabhi bhool jao to is tarhan,
Na sisak saken na balak saken,
Kabhi choor jao to is tarhan,
Na ujar saken na sanwar saken,
Kabhi yaad aao to is tarhan
mujhay anjam tak laana tha us benaam rishtay ko...
meri is bewafai ko koi bhy naam de daina
mager anmol jazbon ko kabhi bemol mat krna..
suno kuch bhy smjh laina...magar mat bewafa kehna
mujhay mat bewafa kehna!!!!
barisho k mosam main yadain jaag jati hain.

k her gari stati hai barishon k mosam main.

koi zahan k johrke main jub sada ubre.

ankhain beagh jati hain barishon k mosam main.
dosti yakin pe tiki hoti hai,
ye diwar badi mushkil se khadi hoti hai,
kabhi fursat mile to padhna kitab risto ki,
dosti khoon ke risto se badi hoti hai
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujh Ko

Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh Ko

Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujh Ko

Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujh Ko

Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh Ko
lakhon main chant k dey dey wo log yarrab
kanton ki rahguzr main b jo sath chalain humaisha
Dil Jo toot Gaya To Feriyad Kero Ge Tum
Hum Na rahe To Hamain Yaad Kero Ge Tum
Aj To Kehte Ho Waqt Nahi Hai
Phir Ek Din Mere Liye Waqt Se Fariyad Kero Ge Tum
humain to kb se pta tha k tu bewafa ha"sagar"

tujhe chaha is liye k shaiyad teri fitrat badal jaye.
Hua Kia Qasoor
Wajha To Bata Tere Jane Ki?
Dharkan To Chal Rahi hai Aur
Hai Aas Tere Aane Ki
Aakhri Sans Tak Kosis Keron ga
Meri Jaan Tujhe Manane Ki
Abb khawabo mein ristey banata hu,terey daman ko or karib pata hu,rahein ulfat muskil hai magar Kanchi teri yadon se apni sansey chalata hu!!