Waqt nay saari kahani he badal daali
Pyar ka naam jo aata hai to dar lagta hai
Zakham kuch esay bhi apnon nay diay hain mujh ko
Ab koyi haath milaata hai to dar lagta hai!!!
jhoot ehsas ki qandeel ko bujha deta hai
mujhe INSAN samjh khud ko farishta na bana
apni yaden tu mere dil main rehne de
is mehkte hue gulzar ko sehra na bana
Ek din inhi kabro mein meri laash hogi......
Khuda kasam us din to sabse udaas hogi.......
Phir tujhe mujhse milne ki aas hogi....
aur tu behad hataash hogi.......
Saath rehete rehete waqt unhi guzar jayega,
door hone ke baad kaun kise yaad aayega,
jee lo yeh pal jab hum saath hai,
kal ka kya pata waqt kaha le jayega.
is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata
Yu yaad na karke saza na dijiye