Qurbani Hai Pyar Ka Asli Matlab,

Qurbani Hai Pyar Ka Asli Matlab,
Qurbani Hai Pyar Ka Asli Matlab,

FARAZ

Chor Diya Saath Mera Bas Itna Keh Kar
  

Jun, 02 2010     83 chars (1 sms)     17596 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Main Hoon Aur Afsurdagi ki Aarzu "Ghalib" k Dil
Dekh Ker Tarz-e-Tapaak-e-Ahl-e-Dunya Jall Gaya
Unko Bhi Humse Wesi Hee Mohabat Ho Zarori To Nahi
Aik Si Dono Ki Halat Ho Zarori Tou Nahi
Dil Ki Chahat Tou Kaie Khuawab Jaga Deti Hai
Han Magar Saath Mein Kismat Bhi Ho Zarori Tou Nahi
Meri Tanhayian Kerti Hain Jinhe Yaad Sada
Unko Bhi Meri Zarort Ho Zarori Tou Nahi
Muskurane Se Bhi Hota Hai Beyan Gham-E-Dil
Mujhko Rone Ki Bhi Aadat Ho Zarori Tou Nahi
Neend Tou Dard Ke Bistar pe Bhi Aa Jati hai
Unki Aagosh mein Ser Ho Zarori Tou Nahi
Suno Pagal..!!
Kahray rehnay say kya hasil..?
Huwa tow buss yehi ho ga..
Hawain dil dukhain gi..
Nigahain bheeg jain gi..
Chalo under chalay jaoo..
Suna hai jo marzi say chala jay..
Woh phir wapis nahin ata..!!
Suna Hai Ghair Ki Mehfil Main Tum Na Jao Ge


Kaho Tou Aaj Saja Loon Ghareeb Khane Ko
Aadat-tan tum ne kar diye waday.
Aadat-tan hum ne aetabar kia.
Teri rahon main bar-ha ruk k.
Hum ne apna hi intizar kia.
Ab na mangain gay zindgi ya rub.
Ye gunah hum ne aik bar kia
Asman ko need aaye to kahna sulaau kahan Dharti ko maut aaye to dafnao
kahan Sagar mein lehar aaye to chupao kahan Jab teri yaad aye to jau
kahan!!!
main yeh nahi kehta
key koi dil main na samaye
main yeh nahi kehta
key koi Aarzoo na ban paye
par.......! itna zaroor kehna hai
agar samajh sako
key dil main kabhi kisi ko
itni jagha na do
key dil key liye dharakna hi
mushkil ho jaye
E-Kash Agar Aisa Ho Jaye
Unke Sabhi Gum Hamare Ho Jaye
Hum Jagey Jab Bhi Yaad Mein Unki
E-Kash Unhe Khabar Ho Jaye

Hum Jagein Unki Yaad Mein Jab Bhi
Wo Neend K Alaam Mein Kho Jayein

Hum Sahein Unke Gum Bhi Haskar
Gar Meri Khushiya Unhe Mil Jaye

Hum Jee Lenge Kaanton Mein Beshak
E-Kash Unhe Sab Phool Mil Jayein

Bhut Sataya Iss Duniya Ne Humko
Per Ab Ye Duniya Usey Na Sataye

Hum Jayein Jab Bhi Dua Mangney
Labo Pe Unka Hee Naam Aaye

Kash Hamari Duaon Mein Itna Asar Ho Jaye
Unke Sabhi Gumm Hume Mil Jayein
Unke Sabhi Gumm Hume Mil Jayein
wo tujhko bhooly hen to tujh pe b laazm hy ae meer,

khaak daal,aag lga,naam na ly,yaad na kar...
Khamoshi Ka Asar
Gehra Hota Hy
Awaaz Sy

Ye Bohay Kuch Keh
Jaati Hy Apne
Andaaz Sy ... !!
Mera kya hai ek roz jahan se rukhsat ho jaunga,

Mere baad na aankho se moti bahana tum.

Tere bina jinda laash hun mujhe koi ehsaas nahi,

Chhukar mere jism ko koi nayi aas na jaganaa tum.
wohi pyaar hai wohi aarzu wohi dil lagi wohi justaju,

per apne apne maqaam per kabhi tum nahi to kabhi hum nahi...