Wo Muhabbat ki kuch aisy misaal rakhta hai....
K muj se Ziada hi mera khayal rakhta hai.....
Bina kahe hi mera har dard jaan laita hai.....
Mujh say lay kr mairy yaadain Sambhal rakhta hai.....
Hans k taal jata hai meri sab talkh baatoon ko.....
Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main
waqt jab humein kareeb laya,
tab pyaar ne apna beej boya.
waqt woh bhi kya haseen tha,
jab dil humne khoya thaa.
najar ne jamm yun peelaya tha,
ki nashein main jhuma saara jahan thaa.
pyaar humein kareeb yun laya ki,
har sapne ko aashiyan mil gaya.
jeevan humhara naam tumhare ho gaya,
aur saath pheeron ne indradhanush ke raangon se isse bhar diya.