bus ik han k intazar main

bus ik han k intazar main
bus ik han k intazar main raat yunhi guzar jaey gi
ab to uljhan hai saath meray neend kaha ayey gi
subah ki kiran na janay kon sa sandais layey gi
rim jim si gungunayey gi ya phir pyas adhori reh jaey gi
  

Jun, 01 2010     207 chars (2 sms)     2951 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

,Saal Beetey, Dil Se Mere Ja Na Paye Tum
Sham Ki Tanhai Mein Phir Yaad Aaye Tum


Har Subah Paya Tumhein Khayalon Mein Apne Pas
Raton Ko Khuwabon Mein Mere Muskaraye Tum


Lagte Ho Mere Apne Jabase Tum Ho Dur
Na Jane Kyon Lagte Thay Pahle Kuch Paraye Tum


Piyar Hum Se Behisab Tha Tumhein Phir Bhi
Janey Kyon Hum Se Rahey Nazarein Churaye Tum


Jab Talak Tum Sath Thay Shikway Bhi Sath Thay
Kuch Nahin Ho Ab Mohabbat K Siwai Tum


Thak Gaya Hoon Zindagi Ki Rah Mein
Kaash Mil Jate Kahin Nazrein Bichhaye Tum
Dil k zakhmon ko
chupana para,


Palkain bhigee thi par
muskrana para,


kaise ultey hain ye
muhabat k rawaj,



Roothna chahte they
par unko manana para..->
Zikr unka hi aata hai mere fasane me,
jinko jaan se jyada chaha hamne jamane me.
Tanhai me unki hi yaad ka sahara mila,
nakamyab rahe jinko hum bhulane me
Honto pe ulfat ka naam hota hai*

Aankhon main chhalakta jaam hota hai*

Talwarron ki zarurat wahan kaisay*

Jahaan nazro se (Qatl--E--Aam hota hai.......
Bara Gumaan Tha Mausam Shanaas Hony Ka

Wohi Bahana Bana Hy Udaas Hony Ka

Fiza Mehakne Lagi, Roshni Chalakne Lagi

Tou Ye Nishaan Hy Tere Aas Pass Hony K
So Doorion Par Reh Kar Be Wo Mujh Say Juda Na Tha
Woh Meri Zindagi Tha Magar Be-Wafa Na Tha
Dol Na Zara Si Baat Ko Qayamat Bana Dala
Warna Kabhi Woh Mujh Say Itna Khafa Na Tha
Log apna bana kar chor date hain
rishta gharo se jor laite hain
Hum to ik phool bhi nahi toor sake
Log to dil bhi toor date hain
Husool-a-Deed se mashroot kb hai Jazba-a-Dil,

Mujhay to Pyar Teray Naam pr b aata hai,

Main Hijr-o-Wasl ki Haad se Guzar Gaya Shayed,

Tu Samnay B nahi or Nazar B aata hai..
Dhadkan ke liye dil chahiye,
Dil ke liye pyaar chahiye,
Pyaar ke liye khushi chahiye,
Khushi ke liye yaar chahiye,
Aur yaar ke liye aap chahiye.
Tujah khabar nahi hum dekh kar bohat rooye





Nai kitab main tasveer ik purani teri
Na gairon se nazare milaya karo, qasam hai na dil ko jalaya karo
Humein neend aati nahi raat bhar, na itna humein yaad aaya karo
Nigaahon me jo aa rahe hain nazar wo jazbe labon tak bhi laya karo
Nahin tum ko fursat mulakaat ki na jhoothe bahane banaya karo
Kabhi mere kandhe per sir ko tikaye hume dil ke armaan sunaya karo
Kabhi apne Khayalon me dhaalo mujhe naghmo ki surat me gaya karo
Pee hAy sharaaB har Gali hAr dukan se,


Ek dosti se ho gaye hay sharaaB k jaam se,


Guzray hAin hum ishQ main kuch aisAy muQaam se,


k nafrat se ho gaye hay MOHABAT K naam se.