Yahan Hona Nahi Kaafi

Yahan Hona Nahi Kaafi
Yahan Hona Nahi Kaafi
Yahan Ban''na Bhi Parta Hy

Chalo Ek Duusrey K Kuch Na
Kuch Ban Jaye''n Hum Dono''n
  

Jun, 01 2010     110 chars (1 sms)     3608 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

~Kisi ne kaha tha kisi se na kehna~

~Lage chot dil pe to Khamosh rehna~

~Jahan chot khana wahin Muskurana~

~Magar is ada se k ro de Zamana.
Mut baha ansu marne wale k liye....

bahne hai tu usk lye duaon ansu baha
Roz Yeh Dil Beqaraar Huta h
Roz Kisi ka Intazaar Huta h

''Kash Koi samj sakey k chup rahney walon k b kise se pyar huta hai
Na thi jis ko mere pyaar ki kadar,

Ittefaaq se usi ko chah rahe they hum,

Usi diye ne jalaya mere hathon ko,

Jisko hawa se bacha rahe the hum.
Kon Yaad Rkhta Hy Tum Bhi Bhool Jaoge ..

Wasl K Zamany Mein..

Hijraton K Mosam Ko..

Aankh Ki Udasi Ko..

Aarzo Ki Khusbo Ko..

Aitbar Lamhon Ko..

Aitbar Khona Hy..

Zindgi K Haathon Mein..

Zindgi Khilona Hy..

Yaad Hi Nhi Rehta..

Kon Kis Jaga Pr Tha..

Sab Hi Bhool Jate Hyn..

Tum Bhi Bhool Jao Ge..
yaa RAAB


kaheen se Baijh dE,


Soraj kA saibAan


Badal ki


Aankh hAy

mere kAchAy makaan par.
Aik phool se shurwat ki thi muhabt ki.

wohi phool ki patyaan dali gyi qabr per.
Bohat masroof rehtay ho.

Sehar say Sham honay tak.

koi Lamha nahi milta.

koi bay naam c Fursat.

koi Gumnaam c Seerat.

kabhi Bethay howay Tanha.

kahin jo Sham ho jaiy.

To meri "ILTEJA" hay ye.

koi lamha chura lena.

Jo "Meray" naam ho jaiy.
Raat Ka Galiban ,Aakhiri Pehar Tha …
Mujh Say Tanha Sitara Yoon Gooya Hoa

Hamnasheen …
Alwida !!
Aey Meray Hamnasheen . .Mujh Ko Nend Aa Gai

Tum Bhi So Jaao Ja Ker Kahen
Kal Milen Gay Yaheen..!!

Ye Sun Kar Main Halka Sa Muska Dia
Us Ko Batla Dia

Janay Walay Yahan Lout‘tay He Nahi
Tum Na Ao Gay Kal

Mujh Ko Hay Ye Yaqeen
Baat Sun Kar Meri

Wo Ruk Sa Gia …
Or Kehnay Laga ..

*Tum Say Wadah Karon
Phir Na Pora Karon ?

Aisa Mumkin Nahi …
Sun Meray Hamnashen …Main To Insaa‘n Nahi
Honth keh nahi sakte jo fasana dil ka,

Shayad nazar se woh baat ho jaye.

Is umeed mein karte hain intezaar raat ka,

ke shayad sapne mein mulaqat ho jaye.
Aik Zara Si Ghalti Se Shaak Ki Zard Tehni Pe
Phool Badgumani K Iss Tarah Se Khilte Hain
Zindagi Se Pyare Log Bhi Phir?
Ajnabi Se Lagte Hain
kua mile ga tujhe bikhrey huye khuwabon k siwa.
rait pe chand ki tasveer banane walay.
maikaday band huye,dhund raha hun tujhko.
tu kahan hai mujhe aankhon se pilaney walay..
mar gaye hum to ye qutbay pe likha jaye ga.
so gaye aap zamanay ko jaganey walay.
dar-o-diwar pe hasrat si barasti hai"qateel".
janey kis dais gaya saath nibhanay walay.