Pani se tasvir kaha banti he

Pani se tasvir kaha banti he
Pani se tasvir kaha banti he,

khwabo se takdir kaha banti he,

kisi ko chaho to sacche dilse,

kyunki ye zindgi phir kaha milti he.
  

Jun, 02 2010     138 chars (1 sms)     4461 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Adha Chand aur pUra dukh

jab se tum bichar gaey ho tab se

Adha Chand aGar dekhon to

mEri ankhain bhar aAti Hain.
ajnabi say rahon ka ajnabi musafir aik...

mujh say pooch betha hai rasta bata do gay?

ajnabi si rahon ka ajnabi musafir sun...

rasta koi bi ho wasta koi bi ho manzelain nahi milti...

manzelain toa dhoka hain manzelain gar mil jaen....

toa justajo nahi rahti zindagi ko jenay ki arzoo nahi rahti........;
Rishte to sabhi anmol hote hai,

par isse ahmiyat kuch acche log dete hai,

Dil to sabhi ko deta hai khuda,

par isme jagah kuch aap jaise dost hi lete hai
aj to be-sabab udaas hy ji...

ishq hota to koe baat b thi...
Kuch Is Liye Bhi Tum Se MOHABBAT Ha Mujh Ko DOST.!

Mera Koi Nahi Ha,
Tumhara Tou Koi Ho. . . . .
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
mere marne marne pe sab khush hoon ge..

AMIR

Bas ek tanhai roya gi ke mera hamsafar chal basa..
Tere Hijra''n Sy
Ta''aluq Nibhane K Liye

HumNy is Saal Bhi
Jeenay Ki Kasam Khai Hy ...
bas ik ashk-e-nadamat ne saaf ker dala

woh sab hisaab jo humne utha k rakha tha
na suno gar buraa kahe koii
na kaho gar buraa kare koii

rok lo gar Galat chale koii
baKhsh do gar Khata kare koii

bak rahaa huu’N junuu’N me’n kyaa kyaa kuchh
kuchh na samajhe Khudaa kare koii
Ksi Se Pyar Soch Samjh kar Nhi Hota,

Har Apna Lagne Wala Hamsafar Nhi Hota,

Tanhai Katon Ki Tarah Chubhti Hy To Kya hua,

Katon K Murjhane Ka Dar To Nhi Hota . . .