bhut mumkin hai dunia cheen le mujh se teri yaadian.
keh main ub or tere ghum ki hafazt ker anhi sakta.
mujhe aazaad ker touk-e-aasri bakhshne wale.
main zanjron main elaan-e-baghwat ker nahi sakta.
meri mushkil ye hai kh mujhe adakari nahi ati.
haqiqi aadmi rasmi mhubat kar nahi sakta.
Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi
Le Gaya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-O-Qarar
Be-Qaraari Tujhe Ae Dil Kabhi Aisi To Na Thi.
tum dukhon ke soz ka
mosamon ke rog ka
dard mat saha karo
udas mat huwa karo
yeh dard hain hayat ke
kuch rung kainat ke
kuch dukh ki tez barishen
kuch phool hein nishat ke
tum phool bus chuna karo
khaar mat chua karo
UDAS MAT HUWA KARO
Jo Meri Ankho Pe Marta Tha Meri Baton Pe Marta Tha Na Janay Shakhs Tha Kesa? Mujhy Khony Se Darta Tha Wo Jab B Bat Karta Tha Yehi Har Bar Kehta Tha Suno Agar Me Bhol Jaon To Agar Me Roth Jaon To Kabhi Wapis Na Aon To Bhula Pao Gay Sab Kuch Kia Yohi Hanste Raho Gay Kia? Yohi Sajte Raho Gay Kia? Yehi Baten Thi Bus Uski, Yehi Yaden Thin Bus Uski Muje Malom Hay Bus Itna “Yaar ” Muje Wo Piyar Karta Tha Muje Khony Se Drta Tha