Woh jo milta hai bhula deta hai
Janay kia bat hai dil usko dua deta hai
Woh mujhay pyar say rotay mein hasanay wala
Yad ata hai tu hanstay mein rula deta hai
USNE CHAHA BHI THO IZHAAR NA KARNA AAYA ,
KAT GAYI UMAR HAME PYAR NA KARNA AAYA ,
USNE MAANGA BHE AGAR KUCH TO JUDAAI MAANGI "
AUR HAM THE KE HAME INKAAR NA KARNA AAYA...
Yaad mein doobney se achcha hai
kay ,chor kar us yaad k samandar ko
koi aisa jazeera dhond lo
kay
jahan sakoon ho, bohat sakoon ho
magar
hum jaise logon ko to
doobna achcha lagta hai
to phir
doobey raho us ki yaad mein
jo k hum ko
kab ka bhool chuka hai
kiya waqa''ie
WO BHOOL CHUKA HO GA
wo jis ka naam tha sanson mein
aur honton par....
wo por por mein kuch iss tarha otarta gaya
har ek gosha dil khud bakhud mehakta gaya
hina se naam hathelee pe bhi likha os ka
wo aik shaks mujhe aaj iss tarha se mila
ke os ke chehre pe dekhi hain ajnabi ankhen