Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

Kya hua jo tumhara saath nahi
Mere hathon main tumhara haath nahi


Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat main zaroori mulaqat nahi


Main sari umar tarsa hon chahat ke liye
Mere naseeb me shayad ye soghat nahi


Iss andaaz se bikhra k phir simat na saka
Mujhe samaitne wala hi koii haath nahi

Jis ki DOSTI peh naz thaa, wo DOST bhi gaya
Kis qarb se kaha us ne koi baat nahi
zikr-e-shab-e-firaq se vehshat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalane ki aadat use bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagoo
masroof main bhi kam thaa faragat use bhi thi

sunta tha vo bhi sab se purani kahaniyaan
taza rafaqaton ki zaroorat use bhi thi

mujh se bichar ke shaher main ghul mil gaya vo shaKhs
haalaa ke shahar bhar se raqabat use bhi thi

"KASH"na jan khud ko nakaam kay bad zouq,
woh mana nahi par tujh say mohabbat usay bhi thi,

vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha ji gaya
varna har ek saans qayamat use bhi thi
Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aogye Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagao ge, Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai Meri Rah Se Jaaker Dekho

Bazm Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheron Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho
Dua ka toota hua harf sard aah mein hai
Teri judayi ka manzar abhi nigah mein hai

Tere badalne ke bawajood tujhko chaha hai
Yeh aitraaf bhi shamil mere gunah mein hai

Azaab dega toh phir mujhko khwab bhi dega
Mein mutmaeen hoon mera dil teri panah mein hai

Jise bahar ke mehman khali chodh gaye
Wo ek makan abhi tak makiin ki chah mein hai

Mein bach bhi jaoon toh tanhayi maar daalegi
Mera qabile ka har fard, Qatl gaah mein hai....
Sochta Huun k Usay bhi Neend Aati Ho gi
Ya Meri Terha Faqat Ashk Bahati Ho ti
Wo Meri Shakal Mera Naam bhoolne Waali
Apni Tasweer se ki aaankh milati ho gi
Is Zameen Per bhi hai Sailab Mere Ashko''n Se
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilati Ho gi
Shaam Hote Hi Chaukhat pe Jala Ker Shamae''n
Apni Palkon Pe Kai Khuwab Sajati ho gi
Us ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rung k Libaas
Ab Moharram Ki Terha Eid Manati ho gi
Hoti Hogi Mere Bosay Ki talab Main Pagal
Jab Zulfoon Main Koi Phool Sajati Ho gi
MEre Tareek Zamano Se Nikalne Waali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati ho gi
Dil Ki Masoom Ragain Khud hi Sulagti Hongi
Junhi Tasweer Ka Kona wo Jalati Ho gi
Roop De Ker Mujhe Us main Kisi Sehzaade ka
Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunaati Ho gi
Yun hum ko sataane ki zaroorat kya thi,
Dil mera jalaane ki zaroorat kya thi.

Jo nahi tha ishq to keh diya hota,
Dil toor ke jaane ki zaroorat kya thi.

Maloom tha gar yeh khuwaab toot jayenge,
Neend mein aa kar uthaane ki zaroorat kya thi.

Ishq par lagti rahegi har daur mein paabandi,
Ashiq ko majboor banaane ki zaroorat kya thi.

Maan loo gar yeh yak tarfa mohabbat thi,
Mujh ko dekh kar muskuraane ki zaroorat kya thi
Sir Jhukao ge To Pathar bhi Devta ho Jaye Ga
Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho jaye Ga

Hum bhi Darya Hain humain bhi Apna hunar Maluum hai
Jis Taraf Bhi Chal Parain, Rasta Ho Jaye Ga

Kitni Sachai Se Zindagi Ne Keh Dia
Tu nahi Mera To Koi Aur Ho Jaye Ga

Rooth Jana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar
Kia Khabar Thi Mujh se Wo Itna Khafa Ho Jaye Ga
RaKhTa Hai MuJhe ThAam Ker GiRnE NaHi DeTa
MaIn ToOt BhI JaOoN To BiKhaRnE NaHi DeTa

Is Darr Se KaHiN KaAnta Na ChubH jaYe HaAth MaIn
Wo PhOoL bHi MuJh Ko pAkArNe NaHi DeTa

Wo Is QaDaR HaSsAs HaI MoHaBbaT MaIn mEri
K Koi GhaM MeRe SeEnay Main Wo PaLne Nahi DeTa

JiS RaAt Ki TaReEki Se Aata HaI MujHe KhaUf
Us DiN Ko Wo PhIr RaAt MaIn DhAlNe NaHi DeTa........
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
Muhabbat Zaat Hoti Hay
Muhabbat Zaat Ki Takmil Hoti Hay
Koi Jungel Mai Ja Tahre,
Kisi Basti Mai Bus Jaye
Muhabat Sath Hoti Hay
Muhbat Khowabon Ki Lah
Muhabat Musamon Ka Dhun
Mohabt Abbsharon K Nikartay Paniyon Ka Mun
Muhabat Junglon Mai Raqs Kerti Morni Ka Taan
Muhabat Barf Perti Sardion Mai Dhop Bunti Hay
Muhabbat Chilchilatay Garm Saherahon Men
Thandi Chahon Ki Manind
Muhabat Dil
Muhabat Ja''n
Muhabbat Roh Ka Darma''n
Muhabat Moorti Hay
Or kabhi Jo Dil k Mandir mai Kahin par Tot Jai tu
Mohbat kanch ki Gurya
Fizahon Men Kisi Ka Haath Sa Gir Choot Jaye Tu
Muhabat Abla Hay qarb Ka
Aur Phoot Jaye Tu
Muhabat Rog Hoti Hay
Muhabat Sog Hoti Hay
Muhabat Shaam Hoti Hay
Muhabat Raat Hoti Hay
Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere Khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
Meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey
Meray haath main jo Gulaab thay.....
Woh Gulaab saare bikher gaye.......
Meri aankh main woh jo khuwaab thay.....
Woh hi khuwaab mere ujarr gaye.....
Jisey main ne maanga tha baar-ha......
Woh hi shakhs mujh se bicharr gaya.....
Mera humsafar mujhe chorr ker.....
Kisi aur simt chala gaya....
Jisey saath dena tha umar bhar.....
Woh to do qadam bhi na chal saka......!!