Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

Un Ko Namoos Bhi, Izzat Bhi, Pazeerai Bhi

Mujh Ko Roney Ko Muyassar Nahi Tanhai Bhi

Apne Hii Haal Pe Hansna, Kabhi Hans Kr Rona

Main Ba-yak Waqt Tamaasha Bhi Tamaashai Bhi
Kaho ehsaas hota hy

Bicherney ka, bikherney ka, ujerney ka

Ager aisa nahi to kiss liye

be-chain ho itney

JawaB aYa

Sunoo Iqrar hy mujh ko

mujhe ehsass hota hy

Mager itna nahi hota

Yeh dil her pal buhat bekul, buhat muztarib

buhat be-taab hota hy

Mager iTna naHi HoTa
jab woh mera naam

apne haathon ki lakeeron main

talash ker k thak gaya

tu dheere se sir jhukaya

aur muskara k kaha

"lakeerain jhoot bolti hain"!
Thay Bohat Be-dard Lamhe Khatam-e-Dard-e-Ishq K

Thii''n Bohat Be-mehar Subhai''n Meherbaan Raato''n K Baad
KaL RaAt ChaaNd Hu-bAaHu tUjH JeSa ThA

WoHi HuSn, WoHi gHurOoR aUr WoHi DuUrI .
Ye Hum Tasleem Kerte Hyn
Tumhain Fursat Nahi Milti
Mgr
O Meri Soch k Mehwar
kAbhi Ye Bhi Zara Socho
k
Tumhain Hum Yaad Kerte Hyn
Tou Khud Ko Bhuul Jate Hyn
Mera us sy taa''luq sirf itna hai

k us k naam par

seeney main dharkan rukne lagti hai

magar aansoo nahi rukte.....
Sache dil se karo fariyaad to
Duniya ki har ek cheez milti hai.
Jis par khuda ki rehmat ho jaye
Use kaanto me bhi khushbu milti hai.
=/// Soch Raha Hoon ///=

Tumhain
Kya Bhejoo . . . ?

Barish Ki
Pehli Boond . . .

Aasman Ka
Sab Say Roshan Tara . . .

Shaakh Par Khila
Surkh Gulaab . . .

Muthi Main
Qaid |k Jugnoo . . .

Honto Pay Saji
|k Khawahish . . .

Aankho Ka |k Khawab . . .

Ya . . .


Dil Ki MAASOOM See DUA . .
jate kahan k raat ki Banhain theen mushtael....



chupte kahan k sara jahan apne Ghar mAin thA.
Wo Jazbon Ki Tijarat Thi Yeh Dil Kuch AUr Samjha Tha
Usey Hasney Ki Aadat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Mujhe Uss Ne Kaha Chalo Nayi Duniya Basaty Hain
Usey Soji SHararat Thi Yeh Dil Kuch AUr Samjha Tha
Hamesha Uski Aankho Mein Dhank Se Rang Hoty Thy
Yeh Us Ki Aam Haalat Thi Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha
Mein Uske Pass Baithi Dair Tak Ghazlain Uski Sunti Thi
Usey Khud Se Mohabbat Thi
“Yeh Dil Kuch Aur Samjha Tha“
Bichra hai Jo aik baar Tu milte nahi daikha
iss zakhm ko hum nai kabi Silte nahi daikha

ik baar jise chaat gaye dhoop ki khwahish
Phir Shaakh pe iss phool ko khilte nahi daikha

aik paid Gira hai Tu Jarain tak nikal aayein
Jiss paid ko aandhi main b hilte nahi daikha

Kantoon main giray phool ko Choomay Ge Laiken
Titli k paron ko kabi Chiltay nahi daikha

Kiss Tarah mere Rooh harri kar gaya aakhir “N“
woh Zehar jisse jism main khulte nahi daikha..