Urdu Poetry SMS Messages5292 messages

woh mujhsay besabab uljha nahi tha,
woh pehlay tu kabhi asa nahi tha,

buhat ala tha uska zarf laykin,
woh meri zaat ko samjha nahi tha,

woh jaisay berukhi say chal dya tha,
main itna bhi gaya guzra nahi tha,

usay main kyun bura theraoon yaroo?
woh acha tha....faqat mera nahi thaa!
Wo Dil Dil Nahi Hota Jis Mein Pyar Nahi Hota
Wo Pyar Pyar Nahi Hota Jo Chahat Mein Beqarar Nahi Hota

Thora Tarapna Thora Machalna Tou Hai Mohabbat Ki Ada
Jo In Raahon Se Na Guzre Wo Yaar Yaar Nahi Hota
Rakhta Hai Mujhay Thaam K Girna Nahi Daita
Main Toot Bhi Jaon To Bikharnay Nahi Daita

Is Dar Se Kahin Kaanta Na Chub Jaye Haath Main
Wo Phool Bhi Mujh Ko Pakarnay Nahi Daita

Wo Is Qadar Hasas Hai Muhabbat Main Meri
Koi Ghum Meray Seenay Main Wo Palnay Nahi Daita

Jis Raat Ki Tarreqi Se Ata Hai Mujhay Khauf
Us Din Ko Phir Raat Main Dhulnay Nahi Daita
Zakham Aisa Diya Ki Koi Dawa Kam Na Aye
Aag Aise Lagayi Ki Paani Bhi Bujha Na Paye

Aaj Bhi Rote Hai Unki Yaad Main
Jinhe Humari Yaad Kabhi Na Aaye
Janey Us Shakhs Ko Ye Kaisa Hunar Ata Hai
Raat Hotay Hi Meri Aankh Main Utar Jata Hai

Main Us K Khyaal Se Niklon Bhi To Kaisay
Wo Meri Soch K Her Raastay Per Nazer Ata Hai
Dil Ki Awaaz Ko Izhaar Kehtay Hein
Jhuki Nigah Ko Iqrar Kehtay Hein

Sirf Paanay Ka Naam Mohabbat Nahin
Kuch Khone Ko Bhi Pyaar Kehtay Hein
Yaadeein Teri Rakh Di Hai Sambhal Kar
Dur Kahi Is Dil Se Nikal Kar

Sab Kuch To Vapas Le Liya Hai Aapne Dur Jaa Kar
In Yaadon Ko Bhi Le Jana Kisi Roz Aakar
Dil Chahe Dekhna Unhe To Batao Aankho Ka Kya Kasoor
Har Pal Mahsoos Ho Jo Unki Khushbu To Sanson Ka Kya Kasoor

Vaise To Har Khowab Pooch K Nahi Aate
Magar Har Roz Unka Khowab Aaye To Raton Ka Kya Kasoor
Mera kya hai ek roz jahan se rukhsat ho jaunga,

Mere baad na aankho se moti bahana tum.

Tere bina jinda laash hun mujhe koi ehsaas nahi,

Chhukar mere jism ko koi nayi aas na jaganaa tum.
Shab-E-Firak Main Jo Maine Kal Neend Se Pocha
Too Kion Nahin Aati Mujh Ghareeb K Pass

Neend Ne Kaha Kuch Soch K Zara
Main Tere Pass Rahoon Ya Tere Naseeb K Pass
Ae Mere Chahne Walo Kabhi Apna Bhi Zamana Tha
Saara Shaher Apna Dewaana Tha

Tum To Karte Ho Dostoun Se Dosti
Apna To Dushman Se Bhi Yaarana Tha
Ek Andekhi Si Surat In Aankho Main Rehti Hai
Jis Say Kabhi Mili Nahi Phir Kiyon
Yeh Nigaahain Un Say Milnay Ko Tarasti Hain

Main Jo Ek Murat Dil Main Banae Betha Hoon
Kiya Maalum Kay Shayad Yeh Nigahain
Usi Ki Talaash Karti Hai