Aasoo Aa Jate Hain Ankhon Me Rone Se Pehle
Her Khwab Toot Jate Hain Sone Se Pehle
Ishq Hai Gunah Ye To Samajh Gaye
Kaash Koi Rok Leta Ye Gunah Hone Se Pehle
Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main
Kabhi apne dil se bhi baat kiya karo
kabhi dil ki dhadkanon ko mehsuus kiya karo
rehte hai hum aap ke jism me dil bankar
kabhi apne dil par bhi hath rakh liya karo
Milta tha mujh sai woh kabhi pal pal k farq sai..
Phir rafta rafta farq yeh saalon mai aa gaya...
Phir yoon hua k aankh sai aansu nikal parray...
Chehra kabhi jo us ka khayaalon mai aa gaya !