zinda SMS Messages1014 messages

Shab-e-zindagi mein Tum....

Yun Chaand Ban K Chamkay,,

K.......

Dil Ki Udaasiyan Sab...!!

Bin mout marr Ga''een,,

Benaseeb Zulmaton ki Tarah...!!!
Tu ne ye phool jo zulfun main saja rakha hai.
Ek diya hai jo andhree main jala rakha hai.
Jeet le jaye koi mujko naseebon wala.
zindagi ne mujhe daao pe laga rakha hai.
Jane kub dil main koi jagne wala aa jaye.
Es lye main ne girebaan khula rakha hai.
Imthaan or mere zabt ka tum kya lo ge.
Main ne darkhan ko bhi seene mian chupa rakha hai.
Dil tha ek shola magar beet gya wo din "qateel"
ub kurede na ese raakh main kya rakha hai.
Kahani dard ki main zindagi se kya kehta

Ye dard us ne diya hai usi se kya kehta

Gila to mujh ko bhi karna tha piyaas ka lekin

Jo khud hi sookh gayi us nadi se kya kehta

Mere aziz hi mujh ko samajh na paye kabhi

Me apna haal kisi ajnabi se kya kehta

Andheri raat ne mujh ko bohat sataya hai

Bhala ye baat mein ab roshni se kya kehta.

Tamaam shehar mein jhoot ka raaj tha''WASi''

Mein apne gham ki haqeeqat kisi se kya kehta....
Yahi Meri Muhabt Hai
Main Uss Ko Itna Pyaar Doun
Main Uss Ki Raah Main Bahaar Doun
Main Uss Ki Dunya Sanwaar Doun

Yahi Meri Muhabt Hain
Teray Pyaar Main Itna Khumaar Hai
Teri Sanso Main Jo Bahaar Hai
Tera Haath Jo Main Thaam Lou
Teri zindagi Sanwaar Doun

Yahi Meri Muhabt Hain
Teray Jism Ko Main Chou Lou
Teri Sanso Main Apni Sansay Doun
Wo Raat Main Apni Teray Saaht Kuch You Guzaar Doun
Main Tuj Ko Itna Pyaar Doun
Yahi Meri Muhabt Hain
kia khabar sath chor de yeh zindagi kahan.

saghi

hastay hoay zamanay main sub say mila karo.
wo kisi or ka hoga to qayamat hogi,
phir kisi ko bhi kisi se na muhabbat hogi,
tuje dekhnay k bad koi accha nahi lagta mujko,
tujse barh kar b koi or muhabbat hogi,
raat kal chaand ko dekha to ye ehsaas hua,
wo akela hai usay meri zarurat hogi,
ay KHUDA Usko kisi or ka hone na dena,
zindagi bhar mujhay phir tujh say shikayat hogi,
hamara haq to nahi hai phir b ye tum se kehty hain.

mohsin

hamari zindagi tum le lo magar udas mat raha kro...
Kash Mein…

Farmahbardar Beti Hoti To

Maa Baap Ke Sath Fareb Nahi Karti…

Kash Mein…

Mein Na Hoti To

Aaj Tumari zindagi Mein Nahi Aati…

Kash Mein Aur Tum…

Sath Hote To

Aaj Hum Itne Pareshan Nahi Hote...
Agar wo pyar kar leti,
Mera daman pakar leti,
To Jeevan mein faqat us se
Muhabbat farz ho jati..
Muhabbat qarz ho jati..
MagarAcha kiya usne,
Mujhe samjha k chal nikli,
Mujhe thukra k chal nikli,
Bht nadan C hai wo...
Abhi anjan C hai wo,
Kahan maloom hai usko,
Muhabbat zindagi mein bas
faqat ik bar milti hai...!!!
sonu

ub kua kya jae

tere baad

meri zindagi bhi

mujh se alahdgi chahti hai.
Saanson k silsily ko na do zindagi ka naam...!


Jeeny k bawajood bhi mar jaty hain kuch log
woh sari baatain yaad aati hain us ko

woh subhain,
woh shaamain

wohi zindagi ki musafatain

jinhain gin gin kay guzara kartay thay..

phir jub

haqeeqaton main wapis lout''ta he

toh

muskura daita he,.

aur

sar jhatak kay kehta he..

pagli!!!