waja SMS Messages143 messages

Sardar: Aap K Father Ki Death Kaise Hui?

Friend: Burhape Ki waja Se

Sardar: Hamare Mohallay Mein Isi Beemari Ki waja Se Kyi Bache Halaak Ho Chukay Hain
Koi kuch bhi na kahay to pata kya hai
Is bechain khamoshi ki wajah kya hai
Unhain ja kay koi kahay hum lay lenge zahar bhi
Woh sirf yeh to bata dain meri khata kya hai…….
Jo Log Dard Ko Samjhty

Han Woh Kbi Dard Ki

wajah Nhi Banty,

Aur Jo Log Sachi

Muhbat Krty Han,

Woh Dard Sehna Tu

Janty Han Per Drd Dena Nhi Janty...
Today''s Most Needed Thought

Jab Hamara Deen 1
Allah 1
Rasool (S.A.W)1
Quran 1
Kaa''ba 1
To Phir Ham Firka Paristi Ki Aag Main Q Jal Rahe Hay.
.Kuch Shar Pasand Log Hamare Shehar Aur Mulk Me Fasad Kar Wa Rhe He. Kb Tak Pathan, Muhajir, Sindhi, Balochi, Punjabi, Kashmiri, Saraiki Aur Dosri Cast Ki waja Se Apas Me Nafrat Rakhe Ge...
Allah Ka Farman Hay Jisne Aek Insan Ki Jan Li To Osne Puri Insaniyat Ki Jan Li.
Plz Shar Pasand Anasir Se Bachye Aur Apna Aur Apne Azizo Ka Khayal Rakhye.
...DOOR...
Tum Door Sahi Muj Se
Sapnoo Ma Tu A Jao
Bechain Mere Dil Ko
Pal Bar Behla Jao,
Koi Lamha Nahi Kut Ta
Tujay Sochay Bina Jana
Yadon se Nikal Kar Kabhi
Mere Saamanay A Jao,
Bus Itni Se Khawahish Hai
Nadaan Mere Dil Ki
Phir A Key Chalay Jana
Ek Baar Tu A Jao,
Bachaini Si Dharkan Ma
Na Aankhon Ma Neenden Hein
Be Kaif Tabbiyat Ki
Koi waja Bata Jao.
Bhid Mein Tanha Hai, Khudpe Hum Hairan Hai,
Bewajah Muskuraye Dil Deewana Mera..
Mitne Lagi Hai Ab Sari Majburiyan,
Ab Tum Bhi Mita Do Dil Se Dil Ki Duriyan...
kya toota kya bikhar gaya ye mein janta hoon
andhiyoon mein chiraag jalaney ki saza mein janta hoon

janey wo kon log the jin ko mila sila mohabtoon ka
zakham_e_mohabat ki tarap ka maza mein janta hoon

door se dekho iss ko pass jaogey toh pachtaogey
zindagi ke chehrey pe hai kya likha mein janta hoon

un ke koochey se uthey jo mera janaza toh kya baat hai
un ki bahoon mein marney ka maza mein janta hoon

kyun bewaja mujhe zindagi se milatey ho yaro
zindagi aur maut ke beech ka khala mein janta hoon

wo khafa se hein ye be janta hoon mein
un ki narazgi mein be hai ik ada mein janta hoon !!
Jab bhi unke ghar se gujrata hu,
hamari ankhen ek dastak de hi deti hai.
Dukh ye nahi wo darwaja bandh kar deti hai,
khushi ye hai ki wo hame pehchan to leti he.
meri afsurdagi se pareshan na ho
tu meri talkhioon ka sabab to nahi
teri aankhian to meri hi damsaaz hian
thin kabhi ajnabi lekin ab to nahi
tujh ko meri musarat muqadam sahi
tera ghum mujhe ko waja e tarb to nahi

tera ahsan hai tu ne mere liye
apni palkoo se rahoon k kante chune
khud kari dhoop main reh kar mere liye
tu ne zulfoo k shadab saaye bune
meri khatir zamane ko pagal kaha
meri khatir zamane k tane sune

tu meri zindahi hia magar jaane man!
ab wo ishq o muhabat ki rasmain nahi
mere dil main kai ghaoo aese b hian
jin ka darmaa teri dastaras main nahi
ik ghum jis ki shidat hamagir hia
tere bas main nahi mere bas main nahi
Buhat Si Kitabein
Buhat Si CDs Aur Cassetes
Buhat Si Betuki Oppointments
Doston se Phone Par Lambi Taweel Guftagu
Yah Phir Uljhi Rahon Par Chalte
Yonhi Waqt Bitana
Be Simat Raston Par Bewajah Khaak Urana
Yah Phir Net Ke Uljhawon Mein
Be Tarah Khud Ko Uljhana
Baat Be Baat Hansne Ke Bahanay
Buhat Hain Khush
Duniya Ko Dikhane Ko
Kitne Bahane Dhoondta Hai Dil
Faqat Usse Bhoolane Ko..........!
Wo Mujh se Meri Udasiyon ki waja puchti hai

Kitni Pagal hai Raat k Sannate ki waja puchti hai

Wo Mujh se Mere Aanso''on ki waja puchti hai

Kitni Pagal hai Barish k barasne ki waja puchti hai

Wo Mujh se Meri Pasand puchti hai

Kitni Pagal hai Khud apne hi barey mai puchti hai

Wo Mujh se Meri Wafa ki intihaa puchti hai

Kitni Pagal hai Sahil per Khara Samandar ki Gehrai puchti hia.....;->
wajah koi nahi lekin .....
Woh mujh se har waqt naraz rehti hai ....
Kahin raste mein mil jaye .....
To nazren pher leti hai .....
Koi us se mera haal poochey.....
To us se rooth jati hai ....
Kabhi baaton baaton mein ....
Jo mera zikr aa jaye ....
Chali jati hai uth ker woh ....
Woh mujh se itna chidhti hai....
Ke ab to sochta hoon main ....
Kaheen mujh se ....
"Mohabbat to nahi us ko"