w SMS Messages18904 messages

Mere wajud Mein wafa Ki Roshni Utaar De
Phir Itna Pyar De,Mjhe Chahto Mein Maar De

Bohut Udas Thi Uth K Tere Pas Aa Gaye
Kuch Aisi Baat Kr Jo Dil Ko Qarar De
Jab tu Samne hota hai
Dil Ajeeb hota hai
Jise mile Tera Pyar wo kab Gareeb hota hai.

ankho mai ansoo chupae nahi jate,
mukadar k likhe mitae nahi jate,

kaise churaon teri yadoon se daman,
dil mai basnay wale kabhi bhulae nai jate
Mai Os Ko Tamasha Sa Bana Deta Hoon Aksar

Jo Dukh Meri Bardasht K Andar Nahi Rehta

AMMI Ne Kaha "Jhoot K Paawo Nahi Hotay"

BABA Se Suna "Sach K Liye Sar Nahi Rehta"

DoRaahay Pe Chup Chaap Kharra Toot Raha Hoon

Mai Khud Ko Bachaoon To Mera Ghar Nahi Rehta

Mai Ne To Tere Shehr Mai Kuch Khair Na Dekha

Tu Ne Muje Likha Tha "Yahan Sharr Nahi Rehta" o_O
Ab mai ne ph0ne pey bachiy0n sy baten krna chorde hain. . .
pappu

hr kisi k0 meyassr hua to aam ho jaownga. . . ;->
Qissa abhi hijaab say aagay nahin barha...

Mein aap, wo, janab say aagay nahin barha...

Muddat huee kitaab-e-muhabbat shuru kiye...

Laikin mein pehlay baab say aagay nahin barha...

Lambi musafatein hain magar is swaar ka...

Paaon abhi rakaab say aagay nahin barha...

Logon ney sang-o-khisht k qilay bana liye...

Apna mehal to khawab say aagay nahin barha...

Tool-e-kalaam k liye mein ney kiye sawaal...

wo mukhtasar jawab say aagay nahin barha...
mohsin tum ny dekha hai kbi sehraa mei jhulasta hua darakht,

isi tarah jeety hain wafaoon ko nibhany waly.
taalash meri thi aur BHATAK raha tha wo.
dil mera tha aur DHARAK raha tha wo.
PAYAR ka taaluq ajib hota hai.
payas meri thi aur SISAK raha tha wo.
* Harf-e-Dua *

Chaandni

Us Dareechy Ko Chuu Ker

Mere Neem-Roshan
Jharokay Mein Aaye, Na Aaye

Magar

Meri Palko''n Ki Taqdeer Se
Neend Chunti Rahe

Aur Us k Khwaab Bunti Rahy

Kerti Hy
Sawalat Musalsal Teri
Nigah

Ye Tarz-e-Takalluf
Mujhy Acha Nahi
Lagta

Kehty Hyn Mujhy
Dekh k Aksar Mere
Ehbaab

Ye Shaks Akela
Hy Par Tanha
Nahi Lagta ...
Ajnabi hai To Mere Zehan Mein Rhta Kyun Hai
woh Jo Pathar Hai To Shishoon Ka Masiha Kyun Hai
woh Hawa Hai To Guzar Jaey Hawaoun Ki Tarhan
woh Samandar Hai To Thra Rahe Bhta Kyun Hai
Mere Aangan Mein Nahin Koi Umeedoun Ka Gulab
Phir Ye Mousam Mere Aangan Mein Utarta Kyun Hai
Jis K Chre Pe Saji Jhoot Ki Thrirein Hain
Dil Usi Shaks K wadoun Se Behalta Kyun Hain
Kiya GHAM hai kia KHUSHI
malum nahi..

w0h APNA hai k AJNABi
malum nahi..


Jis k Baghair ek PAL nahi
guzarta..


Kaise guzre gi ZindaGi
malUm nahi...