w SMS Messages18904 messages

Saath chalne main jo maza hota
woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon
mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota
Laakh miltay hain hum bahanay say
Pyar chupta nahi chupanay say
Ummar guzari hay dar-badar apni
Hum hillay thay zara thikanay say
Aik jadu sa kar gaye mujh par
Kuch makaan thay puranay say
Baat karta raha main us say magar
Baat banti nahi bana’nay say
Ho jo mumkin to yeh bhi kar dekho
Tum nikalo humain fasanay say
Meri chahat main bhi woh baat na thi
woh bhi rukhsat hua bahanay say
Yeh bhi rakha hay dhiyaan main hum nay
Teer palta agar nishanay say…!!!
woh Aksar Apnay Kaam Main Magan...
Baithay Baithay Mujhay Sochnay Lagta Hai...
woh Sari Baatain Yaad Aati Hain Us Ko...
woh Subhain , woh Shamain...
wohi Zindagi Ki Musafatain...
Jinhain Gin Gin Kay Guzara Kartay Thay...
Phir Jab...
Haqeeqaton Main wapis Lout-Ta Hai...
To Muskura Daita Hai...
Aur Sar Jhatak Kay Kehta Hai...
PaGLi!!!!!!!
Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi,
Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi !
Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel,
Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi !
Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha,
Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud,
Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi !
Khud Apne Aap Ko Parkha Tou Ye Nadamat Hy

K Ab Kabhi Bhi Ussay Ilzam-e-Be-wafai Na Doon
Iska Socha bhi na tha ab k jo tanha guzri
wo qayamat hee gahnimat thi jo yakja guzri
Aa gale laga lon mere pyare dushman
Ek meri baat nahi tujh pe bhi kia kia guzri
Mein to sehra ki Tapish Tashna Labi bhool gaya
Jo Mere Ham-Nafson per lab-e-derya guzri
aaj kia dekh k bher aai hain teri aankhain
ham per yeh ghari hamesha guzri
meri Tanha safri Mera Muqadar Thi "Kaash"
werna Iss Shehr-e-Tamana se to Dunia Guzri
Itna Tanha hoon K Rooh Tak Mere Pass Nahi
Uske Bina Ab Mujhe Jeene ki koi Aas Nahi
Log Mohabbat Mein hee Sab umer Ganwa dete hain
Ek mein hoon k Nafrat Bhi mujhe raas nahi
Kahin miley to usay yeh kehna

K tanha savan bita chouka hoon
Main sare armaan jala chooka hoon
Jo sholey bherkey they khavahishon k
wo ansoo‘oun se bhujha chouka hoon
wo jazbey mere kuchaal gia hey
Jafaa k sanchey mai dhal gia hey
Na badley mousam bhi itna jaldi
wo jitna jaldi badal gaya hey
Yeh kaisi uljhan main mar raha hoon
Main apney saaye se dar raha hoon
Jo ho sakey to samait ley wo
Main tinka tinka bikhar raha hoon
Bikhri hai kuch iss tarah mohabbat usey kehna
aankho mein utar aaye hai wehsat usey kehna
kehna k tere baad se G lagta nahi hai
Be chain si rehti hai tabiyat usey kehna
aankho se wazu ker k yeh khamosh aankahin
kerti hain teri roz ibadat usey kehna
yeh soch k badnam na ho jaon kisi din
ker li hai tere shehar se hijrat usey kehna
mehki hai phir mere aangan mein raat ki rani
Jagi hai tere qarb ki harat usey
wohi Sochai''n , wohi Baatai''n
wohio Andaz , Ab Bhi Hy

Bohat Bechain Lagte Ho
Koi Tou Raaz Ab Bhi Hy

Main Kaise Us Ki Yaado''n
Aur waado''n Se Nigah Phero''n

wo Mujh Se Roothne wala
Mera Humraz Ab Bhi Hy

Ye Tum Ho Is Ta''aluq Par
Pareshan Aur Nadim Ho

Magar Is Be-los Rishte Par
Mujhe Tou Naz Ab Bhi Hy ...