w SMS Messages18904 messages

Ek ajab c paheli hai jiNdgi,
sab k sath fir bhi akeli hai jiNdgi.
Kbhi pyara sa ek armaaN hai jiNdgi,
to kbhi dard se bhara tufaN hai jiNdgi.
Kbhi pholo se bhara ek guldasta hai,
to kbhi kaaNto se bhara ek rasta.
Kbhi bacho c masoom ho jati hai,
to kbhi guNaho ka bhoj baN jati hai.
Koi to bata de mujhe kya hai jiNdgi,
suNa hai chaNd roz ki mehmaN hai jiNdgi.
JiNdgi ko chor ek diN jaNa prega,
jiNdgi se jitNa pyar tum krlo,
hoti to akhir bewafa hai jiNdgi
Khel kar yun ungaliyon se baalon me,

Aur uljhaao na sawaalon main.

Padhne waale to padh hi lete hain,

Dil ki sab daastan rumaalon main.

Gar haqikat main na hue haasil,

Milne aaoge naa khayaalon me?
Kabhi hum pe wo jan diya karte the
Jo hum kahte the wo man liya karte the
Aaj pas se anjan bankar gujar gaye
Jo dur se hi pahchan liya karte the.
yaadyn tere khuloos ki dasti hyn aaj bhi
milnay ki aarzoo may tarasti hyn aaj bhi
ankhyn hazar zabt ki koshish k baawajood
ruk ruk k baar baar barasti hyn aaj bhi!!!
Mohobbat ki kashti mein sawaar the hum,
socha tha pahunch jayenge chahat ke gaon mein,
dubne lage to hosh aaya,
hum to baithe the kagaz ki naav mein.
Lehre kinare se aa kar palat jati hai
aapki yaad dil me aakar simat jati hai
farak sirf itna hai,
lehre bewaqt aati hai aapki yaad har waqt aati hai
KABI DEKHA HAI TUNE EK NAZAR SHAM KE SATH
KITANE CHUP CHAP SE RAHETE HAI YE SAHAR SHAMM KE BADD
TU TO SURAJ HAI TUJE SHAM KA DUKH PATA HAI KYA
TU BHI KISI ROJ UTAR MARE AASHIYANE MAI SHAM KE BADD
LAUT AYE NA wO AwARA MIZAZ KAHI KISI ROJ
BUS ISI ASS PAR KHULE RAKHATE HAI APNE DAR SHAM KE BADD
who ruthe humse hum manane chale,
Manana nahi aata yeh bhul hi gaye.
Manana humne kabhi sikha hi nahi,
Kya kare humse yu pehle koi rutha he nahi
IS wAQT 38% LAUG SO RAHE HAIN,
22% LAUENJOY KAR RAHE HAIN,
15% LAUG IBAADAT KAR RAHE HAIN,
25% LAUG TIME PAAS KAR RAHE HAIN,
AUR 1 HUM HAIN K TUMHEN YAAD KAR RAHE HAIN.
Kuch shikayatein baaki hai dil mein,
Dil tootne ke is haadsat ke baad,
Khabar teri yun aati rehti hai har dum,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Charcha hota rehta hai deewano ka yahan,
Har jaan ek jist jaise nazar aati hai,
Baithe baithe koi surat yaad aati hai mujhe,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Khamoshi mein aahat gunjti hai kanon mein,
Jaise bula rahi ho dekar mujhe awaz,
Achanak log kyun daudne lagte hai,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...

Naaz hai kyun mujhe apni mohabbat par itna,
Ke yeh dil tujhe chahne ki zid par hai,
Khwaab har pal toote nazar aate hai,
Kabhi tere aane se pehle kabhi tere jaane ke baad...
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya

Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya

Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya

Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya

Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya

Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
jism hun mein per
mujhmein koi jaan nahi

dil to hai paas per
ab ismein koi armaan nahi

chin gayi jo khushiyaan
to rahi koi iccha baki nahi

chala gaya jo ik baar
phir wo lauta wapis nahi

cha gaya jo uska khumaar
chahat bhi ab koi baki nahi

kho diya jo pyar ik baar
mila wo phir dubara nahi

kaash! mil jata wo mujhe
to usay jane kabhi deti nahi

jism hun mein per
mujhmein koi jaan nahi